Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hansti aankhen hansta chehra ek majbur bahana hai

Andaleeb Shadani

hansti aankhen hansta chehra ek majbur bahana hai

Andaleeb Shadani

MORE BYAndaleeb Shadani

    hañstī āñkheñ hañstā chehra ik majbūr bahāna hai

    chāñd meñ sach-much nuur kahāñ hai chāñd to ik vīrāna hai

    naaz parastish ban jā.egā sabr zarā ai shorish-e-dil

    ulfat dīvāna-garī se husn abhī begāna hai

    mujh ko tanhā chhoḌne vaale na kahīñ tanhā rah jaa.e

    jis par tujh ko naaz hai utnā us naam zamāna hai

    tum se mujh ko shikva kyuuñ ho āḳhir baasī phūloñ ko

    kaun gale haar banā.e kaun aisā dīvāna hai

    ek nazar meñ duniyā bhar se ek nazar meñ kuchh bhī nahīñ

    chāhat meñ andāz nazar chāhat paimāna hai

    ḳhud tum ne āġhāz kiyā thā jis ek tabassum se

    mahrūmī ke aañsū ban kar ḳhatm pe vo afsāna hai

    yuuñ hai us bazm-e-tarab meñ ik dil ġham-dīda jaise

    chāroñ jānib rañg-mahal haiñ beach meñ ik vīrāna hai

    hansti aankhen hansta chehra ek majbur bahana hai

    chand mein sach-much nur kahan hai chand to ek virana hai

    naz parastish ban jaega sabr zara ai shorish-e-dil

    ulfat ki diwana-gari se husn abhi begana hai

    mujh ko tanha chhoDne wale tu na kahin tanha rah jae

    jis par tujh ko naz hai utna us ka nam zamana hai

    tum se mujh ko shikwa kyun ho aaKHir basi phulon ko

    kaun gale ka haar banae kaun aisa diwana hai

    ek nazar mein duniya bhar se ek nazar mein kuchh bhi nahin

    chahat mein andaz nazar hi chahat ka paimana hai

    KHud tum ne aaghaz kiya tha jis ka ek tabassum se

    mahrumi ke aansu ban kar KHatm pe wo afsana hai

    yun hai us ki bazm-e-tarab mein ek dil gham-dida jaise

    chaaron jaanib rang-mahal hain beach mein ek virana hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 115)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now