aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har aan nai shan hai har lamha naya hai

Abdul Mannan Tarzi

har aan nai shan hai har lamha naya hai

Abdul Mannan Tarzi

MORE BYAbdul Mannan Tarzi

    har aan na.ī shaan hai har lamha nayā hai

    ā.īna-e-ayyām hai terī adā hai

    rahbar jise hairat se khaḌā dekh rahā hai

    vo rahrav-e-gum-gashta naqsh-e-kaf-e-pā hai

    nāloñ ne ye bulbul ke baḌā kaam kiyā hai

    ab ātish-e-gul se chaman jalne lagā hai

    ai jān-e-vafā dil ke evaz dard liyā hai

    kuchh soch samajh kar to ye kaam kiyā hai

    pahroñ pas-e-dīvār khaḌā thā so khaḌā hai

    dīvāna hai pāband-e-rah-e-rasm-o-vafā hai

    tanhā.ī meñ mahsūs huā hai mujhe aksar

    jaise mire andar se koī bol rahā hai

    taarī hai sukūt aaj samundar fazā par

    gahrā.ī meñ shāyad koī tūfān uThā hai

    kartā thā jo ḳhāmoshī talqīn hamesha

    ham-sāya mirā ḳhvāb meñ vo chīḳh rahā hai

    zindāñ ke darīchoñ se hai phir shauq ne jhāñkā

    shāyad ki junūñ-ḳhez gulistāñ havā hai

    ye gardish-e-ayyām ehsān hai 'tarzī'

    ab zaḳhm-e-kuhan apnā harā hone lagā hai

    har aan nai shan hai har lamha naya hai

    aaina-e-ayyam hai ya teri ada hai

    rahbar jise hairat se khaDa dekh raha hai

    wo rahraw-e-gum-gashta ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

    nalon ne ye bulbul ke baDa kaam kiya hai

    ab aatish-e-gul hi se chaman jalne laga hai

    ai jaan-e-wafa dil ke ewaz dard liya hai

    kuchh soch samajh kar hi to ye kaam kiya hai

    pahron pas-e-diwar khaDa tha so khaDa hai

    diwana hai paband-e-rah-e-rasm-o-wafa hai

    tanhai mein mahsus hua hai mujhe aksar

    jaise mere andar se koi bol raha hai

    tari hai sukut aaj samundar ki faza par

    gahrai mein shayad koi tufan uTha hai

    karta tha jo KHamoshi ki talqin hamesha

    ham-saya mera KHwab mein wo chiKH raha hai

    zindan ke darichon se hai phir shauq ne jhanka

    shayad ki junun-KHez gulistan ki hawa hai

    ye gardish-e-ayyam ka ehsan hai 'tarzi'

    ab zaKHm-e-kuhan apna hara hone laga hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now