Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai

Khalilur Rahman Azmi

har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    har har saañs na.ī ḳhushbū ik aahaT paatā hai

    ik ik lamha apne haath se jaise niklā jaatā hai

    din Dhalne par nas nas meñ jab gard jamne lagtī hai

    koī aa kar mere lahū meñ phir mujh ko nahlātā hai

    saarī saarī raat jale haiñ jo apnī tanhā.ī meñ

    un aag se sub.h sūraj apnā diyā jalātā hai

    maiñ to ghar meñ apne-āp se bāteñ karne baiThā thā

    an-dekhā ik chehra dīvār pe ubhrā aatā hai

    kitne savāl haiñ ab bhī aise jin koī javāb nahīñ

    pūchhne vaalā pūchh ke un ko apnā dil bahlātā hai

    kis ko sazā-e-maut milegī ye kaisī hai bhiiḌ lagī

    aur kyā us ne jurm kiyā thā koī nahīñ batlātā hai

    har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai

    ek ek lamha apne hath se jaise nikla jata hai

    din Dhalne par nas nas mein jab gard si jamne lagti hai

    koi aa kar mere lahu mein phir mujh ko nahlata hai

    sari sari raat jale hain jo apni tanhai mein

    un ki aag se subh ka suraj apna diya jalata hai

    main to ghar mein apne-ap se baaten karne baiTha tha

    an-dekha sa ek chehra diwar pe ubhra aata hai

    kitne sawal hain ab bhi aise jin ka koi jawab nahin

    puchhne wala puchh ke un ko apna dil bahlata hai

    kis ko saza-e-maut milegi ye kaisi hai bhiD lagi

    aur kya us ne jurm kiya tha koi nahin batlata hai

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 25)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now