har iKHtitam se ek ibtida nikalti hai
har iḳhtitām se ik ibtidā nikaltī hai
jo intihā bhī ho be-intihā nikaltī hai
ġhalat gumāñ hai kalī kā gulāb ho jaanā
khile to is se tumhārī adā nikaltī hai
tumhāre husn se hotā hai baat kā āġhāz
phir us ke baa'd bahut duur jā nikaltī hai
vo ruuh jis pe hai mā-bā’d inhisār mirā
na jaane apnī haqīqat meñ kyā nikaltī hai
surūd-e-'ishq pe kartā huuñ raqs jab 'āsim'
zamīn sū-e-falak zer-e-pā nikaltī hai
har iKHtitam se ek ibtida nikalti hai
jo intiha bhi ho be-intiha nikalti hai
ghalat guman hai kali ka gulab ho jaana
khile to is se tumhaari ada nikalti hai
tumhaare husn se hota hai baat ka aaghaz
phir us ke ba'd bahut dur ja nikalti hai
wo ruh jis pe hai ma-ba’d inhisar mera
na jaane apni haqiqat mein kya nikalti hai
surud-e-'ishq pe karta hun raqs jab 'asim'
zamin su-e-falak zer-e-pa nikalti hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 146)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.