Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har lamhe main sadiyon ka afsana hota hai

Sarfaraz Khalid

har lamhe main sadiyon ka afsana hota hai

Sarfaraz Khalid

MORE BYSarfaraz Khalid

    har lamhe maiñ sadiyoñ afsāna hotā hai

    gardish meñ jab sāñsoñ paimāna hotā hai

    ham ko to bas aatā hai sāñsoñ kārobār

    kyā khonā hotā hai aur kyā paanā hotā hai

    dil zid par us se milnā paḌtā hai har roz

    aur phir saarī duniyā ko samjhānā hotā hai

    āñkheñ bhar aatī haiñ merī hañs lene ke baa'd

    shahr se aage aksar vīrāna hotā hai

    ghar meñ ḳhvāhish hotī hai sahrāoñ ko jaa.eñ

    phir kuchh soch ke raste meñ ruk jaanā hotā hai

    roz koī pahnā detā hai ḳhvāboñ pāzeb

    aur phir naach ke duniyā ko dikhlānā hotā hai

    kho denā hotā hai ḳhud ko din hone ke saath

    shaam Dhale tak phir se ḳhud ko paanā hotā hai

    pahle sābit hotā hai us se malne jurm

    aur phir mujh pe yādoñ jurmāna hotā hai

    har lamhe main sadiyon ka afsana hota hai

    gardish mein jab sanson ka paimana hota hai

    hum ko to bas aata hai sanson ka karobar

    kya khona hota hai aur kya pana hota hai

    dil ki zid par us se milna paDta hai har roz

    aur phir sari duniya ko samjhana hota hai

    aankhen bhar aati hain meri hans lene ke ba'd

    shahr se aage aksar virana hota hai

    ghar mein KHwahish hoti hai sahraon ko jaen

    phir kuchh soch ke raste mein ruk jaana hota hai

    roz koi pahna deta hai KHwabon ki pazeb

    aur phir nach ke duniya ko dikhlana hota hai

    kho dena hota hai KHud ko din hone ke sath

    sham Dhale tak phir se KHud ko pana hota hai

    pahle sabit hota hai us se malne ka jurm

    aur phir mujh pe yaadon ka jurmana hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now