Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har makan la-makan ki gunjaish

Iqbal Jahan Qadeer

har makan la-makan ki gunjaish

Iqbal Jahan Qadeer

MORE BYIqbal Jahan Qadeer

    har makāñ lā-makāñ gunjā.ish

    dil meñ hai do-jahāñ gunjā.ish

    par-e-parvāz meñ utar aa.ī

    vus.at-e-āsmāñ gunjā.ish

    sajda-e-shauq meñ samā jaa.e

    aap ke āstāñ gunjā.ish

    naam us ko vafā mat diije

    jis meñ ho imtihāñ gunjā.ish

    husn-e-a.amāl ta.ayyun kar

    dekh umr-e-ravāñ gunjā.ish

    phail jaa.e to āsmāñ chhū le

    us ke zikr-o-bayāñ gunjā.ish

    ye girānī ke pech-o-ḳham 'iqbāl'

    kyā bachat aur kahāñ gunjā.ish

    har makan la-makan ki gunjaish

    dil mein hai do-jahan ki gunjaish

    par-e-parwaz mein utar aai

    wusat-e-asman ki gunjaish

    sajda-e-shauq mein sama jae

    aap ke aastan ki gunjaish

    nam us ko wafa ka mat dije

    jis mein ho imtihan ki gunjaish

    husn-e-amal ka tayyun kar

    dekh umr-e-rawan ki gunjaish

    phail jae to aasman chhu le

    us ke zikr-o-bayan ki gunjaish

    ye girani ke pech-o-KHam 'iqbaal'

    kya bachat aur kahan ki gunjaish

    Source:

    Jharoke (Pg. 43)

    • Author: Iqbal Jahan Qadeer
      • Publisher: Owais Graphics Offset Printers, Hyderabad
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now