aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har moD ko charagh-e-sar-e-rahguzar kaho

Ghulam Rabbani Taban

har moD ko charagh-e-sar-e-rahguzar kaho

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    har moḌ ko charāġh-e-sar-e-rahguzar kaho

    biite hue dinoñ ko ġhubār-e-safar kaho

    ḳhūñ-gashta aarzū ko kaho shām-e-mai-kada

    dil jarāhatoñ ko chaman sahar kaho

    har rahguzar pe kartā huuñ zanjīr qayās

    chāho to tum use bhī junūñ asar kaho

    merī matā-e-dard yahī zindagī to hai

    nā-mo'tabar kaho ki use mo'atabar kaho

    ye bhī urūj-e-rañg ik mo.ajiza sahī

    phūloñ tāzgī ko faroġh-e-sharar kaho

    dānish-varān-e-hāl 'tābāñ' hai mashvara

    har manzar-e-jahāñ ko fareb-e-nazar kaho

    har moD ko charagh-e-sar-e-rahguzar kaho

    bite hue dinon ko ghubar-e-safar kaho

    KHun-gashta aarzu ko kaho sham-e-mai-kada

    dil ki jarahaton ko chaman ki sahar kaho

    har rahguzar pe karta hun zanjir ka qayas

    chaho to tum use bhi junun ka asar kaho

    meri mata-e-dard yahi zindagi to hai

    na-mo'tabar kaho ki use mo'atabar kaho

    ye bhi uruj-e-rang ka ek moajiza sahi

    phulon ki tazgi ko farogh-e-sharar kaho

    danish-waran-e-haal ka 'taban' hai mashwara

    har manzar-e-jahan ko fareb-e-nazar kaho

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 265)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now