Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har raat sitaron ka safar mere liye hai

Azra Naqvi

har raat sitaron ka safar mere liye hai

Azra Naqvi

MORE BYAzra Naqvi

    har raat sitāroñ safar mere liye hai

    har roz na.ī taaza sahar mere liye hai

    ik shahr-e-tilismāt mujhe DhūñD rahā hai

    bechain koī rāhguzar mere liye hai

    jab chāhūñ taḳhayyul se kisī daur meñ luuñ

    lamhoñ meñ ye sadiyoñ safar mere liye hai

    kahte haiñ samundar meñ ka.ī raaz chhupe haiñ

    sandes liye koī bhañvar mere liye hai

    guzre hue fankāroñ mīrās milī hai

    un sab riyāzat samar mere liye hai

    shikve to bahut tujh se haiñ ai jaan magar

    chhitnār mohabbat shajar mere liye hai

    har raat sitaron ka safar mere liye hai

    har roz nai taza sahar mere liye hai

    ek shahr-e-tilismat mujhe DhunD raha hai

    bechain koi rahguzar mere liye hai

    jab chahun taKHayyul se kisi daur mein ji lun

    lamhon mein ye sadiyon ka safar mere liye hai

    kahte hain samundar mein kai raaz chhupe hain

    sandes liye koi bhanwar mere liye hai

    guzre hue fankaron ki miras mili hai

    un sab ki riyazat ka samar mere liye hai

    shikwe to bahut tujh se hain ai jaan magar tu

    chhitnar mohabbat ka shajar mere liye hai

    Source:

    Dil Ke Mausam (Pg. 134)

    • Author: Azra Naqvi
      • Publisher: Anees Amrohvi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now