Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har tamashai faqat sahil se manzar dekhta

Ahmad Faraz

har tamashai faqat sahil se manzar dekhta

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    Interesting Fact

    Faraz's ghazal has been included in Mumbai University literature curriculum

    har tamāshā.ī faqat sāhil se manzar dekhtā

    kaun dariyā ko ulaTtā kaun gauhar dekhtā

    vo to duniyā ko mirī dīvāngī ḳhush aa ga.ī

    tere hāthoñ meñ vagarna pahlā patthar dekhtā

    aañkh meñ aañsū juḌe the par sadā tujh ko na

    is tavaqqo.a par ki shāyad palaT kar dekhtā

    merī qismat lakīreñ mere hāthoñ meñ na thiiñ

    tere māthe par koī merā muqaddar dekhtā

    zindagī phailī huī thī shām-e-hijrāñ tarah

    kis ko itnā hausla thā kaun kar dekhtā

    Dūbne vaalā thā aur sāhil pe chehroñ hujūm

    pal mohlat thī maiñ kis ko aañkh bhar kar dekhtā

    bhī dil ko ek ḳhuuñ buuñd samjhā hai 'farāz'

    aañkh agar hotī to qatre meñ samundar dekhtā

    har tamashai faqat sahil se manzar dekhta

    kaun dariya ko ulaTta kaun gauhar dekhta

    wo to duniya ko meri diwangi KHush aa gai

    tere hathon mein wagarna pahla patthar dekhta

    aankh mein aansu juDe the par sada tujh ko na di

    is tawaqqoa par ki shayad tu palaT kar dekhta

    meri qismat ki lakiren mere hathon mein na thin

    tere mathe par koi mera muqaddar dekhta

    zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah

    kis ko itna hausla tha kaun ji kar dekhta

    Dubne wala tha aur sahil pe chehron ka hujum

    pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

    tu bhi dil ko ek KHun ki bund samjha hai 'faraaz'

    aankh agar hoti to qatre mein samundar dekhta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now