Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har taraf parda-dar-e-zulmat hai

Jameel Mazhari

har taraf parda-dar-e-zulmat hai

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    har taraf parda-dār-e-zulmat hai

    ik tabassum phir zarūrat hai

    Thahrī Thahrī hai vaqt raftār

    ālam-e-ġhaur meñ mashiyyat hai

    hai gumāñ kyā yaqīn saaya

    aur yaqīñ vāhime shiddat hai

    ishq bhī zindagī la.anat thā

    aql bhī zindagī la.anat hai

    ḳhud-numā.ī meñ jo hijāb rahe

    tīrgī us ik alāmat hai

    shor-e-tahsīn-e-nāravā se 'jamīl'

    ye ḳhamoshī basā-ġhanīmat hai

    har taraf parda-dar-e-zulmat hai

    ek tabassum ki phir zarurat hai

    Thahri Thahri hai waqt ki raftar

    aalam-e-ghaur mein mashiyyat hai

    hai guman kya yaqin ka saya

    aur yaqin wahime ki shiddat hai

    ishq bhi zindagi ki lanat tha

    aql bhi zindagi ki lanat hai

    KHud-numai mein jo hijab rahe

    tirgi us ki ek alamat hai

    shor-e-tahsin-e-narawa se 'jamil'

    ye KHamoshi basa-ghanimat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now