Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye

Majeed Amjad

har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    har vaqt fikr-e-marg-e-ġharībāna chāhiye

    sehhat ek pahlū marīzāna chāhiye

    duniyā-e-be-tarīq meñ jis samt bhī chalo

    raste meñ ik salām rafīqāna chāhiye

    āñkhoñ meñ umDe ruuh nazdīkiyoñ ke saath

    aisā bhī ek duur yārāna chāhiye

    kyā pastiyoñ zillateñ kyā azmatoñ ke fauz

    apne liye azaab judāgāna chāhiye

    ab dard-e-shush bhī saañs koshish meñ hai sharīk

    ab kyā ho ab to niiñd ko aa jaanā chāhiye

    raushan tarā.iyoñ se utartī havā meñ aaj

    do chaar gaam laġhzish-e-mastāna chāhiye

    'amjad' in ashk-bār zamānoñ ke vāste

    ik sā.at-e-bahār nazrāna chāhiye

    har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye

    sehhat ka ek pahlu marizana chahiye

    duniya-e-be-tariq mein jis samt bhi chalo

    raste mein ek salam rafiqana chahiye

    aankhon mein umDe ruh ki nazdikiyon ke sath

    aisa bhi ek dur ka yarana chahiye

    kya pastiyon ki zillaten kya azmaton ke fauz

    apne liye azab judagana chahiye

    ab dard-e-shush bhi sans ki koshish mein hai sharik

    ab kya ho ab to nind ko aa jaana chahiye

    raushan taraiyon se utarti hawa mein aaj

    do chaar gam laghzish-e-mastana chahiye

    'amjad' in ashk-bar zamanon ke waste

    ek saat-e-bahaar ka nazrana chahiye

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Majeed Amjad

    Majeed Amjad

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 717)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now