Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harif-e-gardish-e-ayyam to bane hue hain

Akbar Hameedi

harif-e-gardish-e-ayyam to bane hue hain

Akbar Hameedi

MORE BYAkbar Hameedi

    harīf-e-gardish-e-ayyām to bane hue haiñ

    vo ā.eñge nahīñ ā.eñge ham saje hue haiñ

    baḌā ḳhushiyoñ bharā hañstā-bastā ghar hai mirā

    isī liye to sabhī qumqume jale hue haiñ

    vo ḳhud-pasand hai ḳhud ko dekhnā chāhe

    so us ke chāroñ taraf aa.ine lage hue haiñ

    ye kis hasīñ savārī guzarne vaalī hai

    jo kā.enāt ke sab rāste saje hue haiñ

    mahak rahī hai fazā us badan ḳhushbū se

    chaman harā-bharā hai phuul bhī khile hue haiñ

    maiñ us samt meñ ḳhud rāsta banā.ūñgā

    vagarna us taraf rāste bane hue haiñ

    harif-e-gardish-e-ayyam to bane hue hain

    wo aaenge nahin aaenge hum saje hue hain

    baDa hi KHushiyon bhara hansta-basta ghar hai mera

    isi liye to sabhi qumqume jale hue hain

    wo KHud-pasand hai KHud ko hi dekhna chahe

    so us ke chaaron taraf aaine lage hue hain

    ye kis hasin ki sawari guzarne wali hai

    jo kaenat ke sab raste saje hue hain

    mahak rahi hai faza us badan ki KHushbu se

    chaman hara-bhara hai phul bhi khile hue hain

    main us ki samt mein KHud rasta banaunga

    wagarna us ki taraf raste bane hue hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now