hasin teri tarah meri zindagi na rahi
hasīn terī tarah merī zindagī na rahī
tire baġhair kisī shai meñ dilkashī na rahī
ab is añdhere kā anjām dekhiye kyā ho
ki zindagī meñ mohabbat kī raushnī na rahī
tire hī ġham ko samajh luuñ na kyoñ matā'-e-hayāt
ḳhushī kā kyā hai bharosa rahī rahī na rahī
ḳhudā ke vāste tū hī batā bahār-e-chaman
ye baat kyā hai jo phūloñ meñ tāzgī na rahī
tirī nigāh-e-karam se thā e'tibār-e-hayāt
tire badalte hī bas jaise zindagī na rahī
vahī hai chāñd vahī āsmāñ vahī taare
magar jahāñ meñ vo pahlī sī raushnī na rahī
uThā jo parda-e-ruḳh ab to kyā uThā 'shādāñ'
nigāh-e-shauq meñ jab tāb-e-dīd hī na rahī
hasin teri tarah meri zindagi na rahi
tere baghair kisi shai mein dilkashi na rahi
ab is andhere ka anjam dekhiye kya ho
ki zindagi mein mohabbat ki raushni na rahi
tere hi gham ko samajh lun na kyon mata'-e-hayat
KHushi ka kya hai bharosa rahi rahi na rahi
KHuda ke waste tu hi bata bahaar-e-chaman
ye baat kya hai jo phulon mein tazgi na rahi
teri nigah-e-karam se tha e'tibar-e-hayat
tere badalte hi bas jaise zindagi na rahi
wahi hai chand wahi aasman wahi tare
magar jahan mein wo pahli si raushni na rahi
uTha jo parda-e-ruKH ab to kya uTha 'shadan'
nigah-e-shauq mein jab tab-e-did hi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.