hasrat-e-dil thi kahan ki wo kahan tak pahunche
hasrat-e-dil thī kahāñ kī vo kahāñ tak pahuñche
phir bahāroñ ke tamannā.ī ḳhizāñ tak pahuñche
dasht se ham ko nikālā baḌī be-rahmī se
kyoñ na phir qissa-e-ġham sab kī zabāñ tak pahuñche
tum kisī se bhī milo ham ne kabhī kuchh na kahā
tum falāne se mile aur fulāñ tak pahuñche
aaj bhī sāhib-e-idrāk bahut milte haiñ
aise bhī log haiñ jo dard-e-nihāñ tak pahuñche
kuuch kar jaate haiñ gulshan se kahīñ aisā na ho
haath har phuul kā merī rag-e-jāñ tak pahuñche
shā'irī shauq nahīñ balki zarūrat hai mirī
taaki 'mariyam' kī sadā saare jahāñ tak pahuñche
hasrat-e-dil thi kahan ki wo kahan tak pahunche
phir bahaaron ke tamannai KHizan tak pahunche
dasht se hum ko nikala baDi be-rahmi se
kyon na phir qissa-e-gham sab ki zaban tak pahunche
tum kisi se bhi milo hum ne kabhi kuchh na kaha
tum falane se mile aur fulan tak pahunche
aaj bhi sahib-e-idrak bahut milte hain
aise bhi log hain jo dard-e-nihan tak pahunche
kuch kar jate hain gulshan se kahin aisa na ho
hath har phul ka meri rag-e-jaan tak pahunche
sha'iri shauq nahin balki zarurat hai meri
taki 'mariyam' ki sada sare jahan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.