aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur

Najm Aafandi

hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur

Najm Aafandi

MORE BYNajm Aafandi

    hastī koī aisī bhī hai insāñ ke sivā aur

    maz.hab ḳhudā aur hai matlab ḳhudā aur

    phir Thahar gayā qāfila-e-dard sunā hai

    shāyad koī raste meñ mirī tarah girā aur

    ik jurra-e-āḳhir kamī rah ga.ī āḳhir

    jitnī vo pilāte ga.e āñkhoñ ne kahā aur

    mimbar se bahut fasl hai maidān-e-amal

    taqrīr ke mard aur haiñ mardān-e-viġhā aur

    allāh gila kar ke maiñ pachtāyā huuñ kyā kyā

    jab ḳhatm huī baat kahīñ us ne kahā aur

    kyā zer-e-lab dost hai iz.hār-e-jasārat

    haq ho ki vo nāhaq ho zarā lai to baḌhā aur

    daulat to pahle gunahgār thā mun.im

    daulat mohabbat ne gunahgār kiyā aur

    ye vahm hotā hai mujhe dekh ke un ko

    sīrat ḳhudā aur hai sūrat ḳhudā aur

    hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur

    mazhab ka KHuda aur hai matlab ka KHuda aur

    phir Thahar gaya qafila-e-dard suna hai

    shayad koi raste mein meri tarah gira aur

    ek jurra-e-aKHir ki kami rah gai aaKHir

    jitni wo pilate gae aankhon ne kaha aur

    mimbar se bahut fasl hai maidan-e-amal ka

    taqrir ke mard aur hain mardan-e-wigha aur

    allah gila kar ke main pachtaya hun kya kya

    jab KHatm hui baat kahin us ne kaha aur

    kya zer-e-lab dost hai izhaar-e-jasarat

    haq ho ki wo nahaq ho zara lai to baDha aur

    daulat ka to pahle hi gunahgar tha munim

    daulat ki mohabbat ne gunahgar kiya aur

    ye wahm sa hota hai mujhe dekh ke un ko

    sirat ka KHuda aur hai surat ka KHuda aur

    Source:

    Nuquush Lahore (Pg. 470)

    • Author: Mohd Tufail
      • Edition: Feb.1956
      • Publisher: Idara Farog-e-urdu, Lahore
      • Year of Publication: Feb.1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now