aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha

Hatim Ali Mehr

gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha

Hatim Ali Mehr

MORE BYHatim Ali Mehr

    gul-bāñg thī guloñ hamārā tarāna thā

    apnā bhī us chaman meñ kabhī āshiyāna thā

    kūcha meñ us ke naala merā be-kasāna thā

    apnā bhī is chaman meñ kabhī āshiyāna thā

    jab koī zulf meñ bhī na kuchh daḳhl-e-shāna thā

    saudā.ī thā mizāj merā āshiqāna thā

    bulbul ko apnā naala mauzūñ tarāna thā

    har gul bhī maa.il ġhazal-e-āshiqāna thā

    nāloñ meñ bulbuloñ jo rañg-e-tarāna thā

    fasl-e-bahār thī vo guloñ zamāna thā

    uljhā huā jo gesū-e-jānāñ meñ shāna thā

    sumbul meñ ek aur nayā shāḳh-e-shāna thā

    saudā.iyoñ ko thī tirī uljhan balā raat

    zulf-e-dotā tūl-o-tavīl ik fasāna thā

    jaate haiñ aap aur burā haal hai mirā

    aatī jo ab to maut ko achchhā bahāna thā

    tīr-e-nigāh jo kamān thī juḌī huī

    apnā jigar kabhī to kabhī dil nishāna thā

    dariyā-e-mai ghaat utāreñge ham unheñ

    shīrīñ jū-e-shīr aglā zamāna thā

    apnī shab-e-visāl allāh-re ehtimām

    shabnam shabnamī thī falak shāmiyāna thā

    kamlī ko apnā taan ke soyā faqīr mast

    kyā pashm thā amīroñ jo shāmiyāna thā

    ka.aba ehtirām ḳhudā-sāz ho gayā

    us vaqt meñ kahāñ ye tirā āstāna thā

    dair-o-haram meñ kyā thā agar ham se pūchhiye

    shāyān-e-sajda-e-yār tirā āstāna thā

    kunj-e-qafas meñ shikva-e-sayyād kyā karūñ

    us qusūr kyā hai merā āb-o-dāna thā

    rozī huā hai dāna-e-zanjīr-o-āb-e-teġh

    qismat āshiqoñ ye hai āb-o-dāna thā

    lohe ke the chane tire chhīñTe ġhazab ke thī

    sayyād ḳhuub apne liye āb-o-dāna thā

    ho mujh andalīb ḳhush-ilhān asīr-e-dām

    sayyād nasīb merā āb-o-dāna thā

    gandum jo ḳhuld meñ to yahāñ thī sharāb-e-nāb

    ik maiñ thā do jagah pe mirā āb-o-dāna thā

    rind-e-sharāb-e-ḳhār rahā maiñ tamām-umr

    añgūr nasīb mujhe āb-o-dāna thā

    maiñ vo sadaf huuñ jis ke hai dariyā-dilī shor

    jo hans chug rahā hai mirā āb-o-dāna thā

    bulbul ke aage apnī baḌī baat rah ga.ī

    ġhuncha se to kahīñ terā chhūTā diyā na haath

    rañgīñ-ḳhayāliyāñ dam-e-fikr-e-suḳhan na thiiñ

    zeb tan-e-urūs libās-e-shahāna thā

    missī kabhī malī kabhī gesū banā kiye

    shab-bhar shab-e-visāl meñ hīla-bahāna thā

    tujh se sivā to ai sanam allāh naam

    achchhā thā haañ hasīn thā yūsuf burā na thā

    yārān-e-raftagāñ nishāñ ḳhaak DhūñDhiye

    reg-e-ravāñ qāfila thā jo ravāna thā

    muñh dekhī un ke sāmne kahte nahīñ haiñ ham

    apnī zabān pe vasf-e-dahan ġhā.ebāna thā

    bād-e-bahār ke oḌā laa.ī baaġh meñ

    kyā ganj-e-shā.egān zar-e-gul ḳhazāna thā

    apnā samand-e-umr jamā jam ke uḌ gayā

    shāyad hamārā rāz-e-nafas tāziyāna thā

    rāz-e-nihāñ kisī pe na apnā ayaañ huā

    nā-āshnā-e-gosh hamārā fasāna thā

    pahchāniye to ḳhaak ke putloñ ḳhaak ko

    begāna kaun kaun un meñ yagāna thā

    us sho.ala-rū thī jo dil-e-sāf meñ jagah

    ātish-kada ye 'mehr' ā.īna-ḳhāna thā

    gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha

    apna bhi us chaman mein kabhi aashiyana tha

    kucha mein us ke nala mera be-kasana tha

    apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha

    jab koi zulf mein bhi na kuchh daKHl-e-shana tha

    saudai tha mizaj mera aashiqana tha

    bulbul ko apna nala mauzun tarana tha

    har gul bhi mail ghazal-e-ashiqana tha

    nalon mein bulbulon ki jo rang-e-tarana tha

    fasl-e-bahaar thi wo gulon ka zamana tha

    uljha hua jo gesu-e-jaanan mein shana tha

    sumbul mein ek aur naya shaKH-e-shana tha

    saudaiyon ko thi teri uljhan bala ki raat

    zulf-e-dota ka tul-o-tawil ek fasana tha

    jate hain aap aur bura haal hai mera

    aati jo ab to maut ko achchha bahana tha

    tir-e-nigah ki jo kaman thi juDi hui

    apna jigar kabhi to kabhi dil nishana tha

    dariya-e-mai ki ghat utarenge hum unhen

    shirin ka ju-e-shir ka agla zamana tha

    apni shab-e-visal ka allah-re ehtimam

    shabnam ki shabnami thi falak shamiyana tha

    kamli ko apna tan ke soya faqir mast

    kya pashm tha amiron ka jo shamiyana tha

    kaba ka ehtiram KHuda-saz ho gaya

    us waqt mein kahan ye tera aastana tha

    dair-o-haram mein kya tha agar hum se puchhiye

    shayan-e-sajda-e-yar tera aastana tha

    kunj-e-qafas mein shikwa-e-sayyaad kya karun

    us ka qusur kya hai mera aab-o-dana tha

    rozi hua hai dana-e-zanjir-o-ab-e-tegh

    qismat ka aashiqon ki ye hai aab-o-dana tha

    lohe ke the chane tere chhinTe ghazab ke thi

    sayyaad KHub apne liye aab-o-dana tha

    ho mujh sa andalib KHush-ilhan asir-e-dam

    sayyaad ka nasib mera aab-o-dana tha

    gandum jo KHuld mein to yahan thi sharab-e-nab

    ek main tha do jagah pe mera aab-o-dana tha

    rind-e-sharab-e-KHar raha main tamam-umr

    angur ka nasib mujhe aab-o-dana tha

    main wo sadaf hun jis ke hai dariya-dili ka shor

    jo hans chug raha hai mera aab-o-dana tha

    bulbul ke aage apni baDi baat rah gai

    ghuncha se to kahin tera chhuTa diya na hath

    rangin-KHayaliyan dam-e-fikr-e-suKHan na thin

    zeb tan-e-urus libas-e-shahana tha

    missi kabhi mali kabhi gesu bana kiye

    shab-bhar shab-e-visal mein hila-bahana tha

    tujh se siwa to ai sanam allah ka hi nam

    achchha tha han hasin tha yusuf bura na tha

    yaran-e-raftagan ka nishan KHak DhunDhiye

    reg-e-rawan ka qafila tha jo rawana tha

    munh dekhi un ke samne kahte nahin hain hum

    apni zaban pe wasf-e-dahan ghaebana tha

    baad-e-bahaar ja ke oDa lai bagh mein

    kya ganj-e-shaegan zar-e-gul ka KHazana tha

    apna samand-e-umr jama jam ke uD gaya

    shayad hamara raaz-e-nafas taziyana tha

    raaz-e-nihan kisi pe na apna ayan hua

    na-ashna-e-gosh hamara fasana tha

    pahchaniye to KHak ke putlon ki KHak ko

    begana kaun kaun sa un mein yagana tha

    us shoala-ru ki thi jo dil-e-saf mein jagah

    aatish-kada ye 'mehr' ka aaina-KHana tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now