Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa chali hai na patta koi hila ab tak

Aanand Saroop Anjum

hawa chali hai na patta koi hila ab tak

Aanand Saroop Anjum

MORE BYAanand Saroop Anjum

    havā chalī hai na pattā koī hilā ab tak

    vahī hai ek ḳhamoshī silsila ab tak

    vo kaun log haiñ kis talāsh meñ gum haiñ

    hameñ to apnā pata bhī nahīñ milā ab tak

    apne chāhne vāloñ se āshnā na huī

    yahī to tujh se hai ai ziist ik gilā ab tak

    kisī dāman-e-sad-chāk kyā rafū karte

    ki ham se apnā bhī dāman nahīñ silā ab tak

    vahī safar vahī taare vahī thakan baaqī

    vahī hai bujhte charāġhoñ silsila ab tak

    purānī baat maiñ kal samajh ke bhuul gayā

    magar hai zaḳhm tamannā-e-dil khulā ab tak

    jise maiñ DhūñD rahā huuñ galī galī 'anjum'

    vo shaḳhs mujh se bichhaḌ kar nahīñ milā ab tak

    hawa chali hai na patta koi hila ab tak

    wahi hai ek KHamoshi ka silsila ab tak

    wo kaun log hain kis ki talash mein gum hain

    hamein to apna pata bhi nahin mila ab tak

    tu apne chahne walon se aashna na hui

    yahi to tujh se hai ai zist ek gila ab tak

    kisi ka daman-e-sad-chaak kya rafu karte

    ki hum se apna bhi daman nahin sila ab tak

    wahi safar wahi tare wahi thakan baqi

    wahi hai bujhte charaghon ka silsila ab tak

    purani baat main kal ki samajh ke bhul gaya

    magar hai zaKHm tamanna-e-dil khula ab tak

    jise main DhunD raha hun gali gali 'anjum'

    wo shaKHs mujh se bichhaD kar nahin mila ab tak

    Source:

    Patta Patta (Pg. 43)

    • Author: Aanand Saroop Anjum
      • Edition: 1998
      • Publisher: Janta Stationery Mart, Jammu & Kashmir
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now