Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe

Zubair Rizvi

hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    havā andhī panāhoñ meñ mat uchhāl mujhe

    zamīñ hisār-e-kashish se na nikāl mujhe

    sivā-e-rañj-e-nadāmat na kuchh milā tum ko

    maiñ kah rahā thā banāo na tum misāl mujhe

    shikast-e-dil ne ajab ġham ko sūrateñ haiñ

    rafāqatoñ ghaḌī hai zarā sambhāl mujhe

    maiñ ḳhvāb ḳhvāb jazīroñ sair ko niklūñ

    uThā ke parda-e-shab hairatoñ meñ Daal mujhe

    kabhī kabhī use dil se azīz-tar jaanā

    ye sar jo dosh pe lagtā rahā vabāl mujhe

    zamīn maiñ tirī chāhat meñ zer-e-dām aayā

    asiir kar nahīñ paayā thā koī jaal mujhe

    bayāz-e-vaqt pe us ne likhā hai naam mirā

    yaqīn kar ki na hogā kabhī zavāl mujhe

    suḳhan ke kuchh to guhar maiñ bhī nazr kartā chalūñ

    ajab nahīñ ki kareñ yaad maah o saal mujhe

    hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe

    zamin hisar-e-kashish se na tu nikal mujhe

    siwa-e-ranj-e-nadamat na kuchh mila tum ko

    main kah raha tha banao na tum misal mujhe

    shikast-e-dil ne ajab gham ko suraten di hain

    rafaqaton ki ghaDi hai zara sambhaal mujhe

    main KHwab KHwab jaziron ki sair ko niklun

    uTha ke parda-e-shab hairaton mein Dal mujhe

    kabhi kabhi use dil se aziz-tar jaana

    ye sar jo dosh pe lagta raha wabaal mujhe

    zamin main teri chahat mein zer-e-dam aaya

    asir kar nahin paya tha koi jal mujhe

    bayaz-e-waqt pe us ne likha hai nam mera

    yaqin kar ki na hoga kabhi zawal mujhe

    suKHan ke kuchh to guhar main bhi nazr karta chalun

    ajab nahin ki karen yaad mah o sal mujhe

    Source:

    Sang-ge-Sada (Pg. 298)

    • Author: Zubair Razvi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Zehne Jadid, New Delhi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now