Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa mein aae to lau bhi na sath li humne

Tariq Naeem

hawa mein aae to lau bhi na sath li humne

Tariq Naeem

MORE BYTariq Naeem

    havā meñ aa.e to lau bhī na saath ham ne

    phir ek umr añdheroñ meñ kaaT ham ne

    diye meñ zor bahut thā magar na jaane kyuuñ

    bas ek had se na baḌhne raushnī ham ne

    uThā uThā ke tire naaz ai ġham-e-duniyā

    ḳhud aap tirī aadat ḳharāb ham ne

    vafā meñ jhuuT milāyā diloñ meñ khoT rakhā

    kuchh is tarah se nibhā.ī hai dostī ham ne

    duā karo vo kisī dil-jale aah na ho

    ufuq ke paas jo dekhī hai aag ham ne

    ajiib sehr thā dil ke qimār-ḳhāne meñ

    tab uTh ke aa.e ki hastī bhī haar ham ne

    qafas-misāl thī 'tāriq'-na.īm duniyā bhī

    asiir ho ke gizārī hai zindagī ham ne

    hawa mein aae to lau bhi na sath li hum ne

    phir ek umr andheron mein kaT di hum ne

    diye mein zor bahut tha magar na jaane kyun

    bas ek had se na baDhne di raushni hum ne

    uTha uTha ke tere naz ai gham-e-duniya

    KHud aap hi teri aadat KHarab ki hum ne

    wafa mein jhuT milaya dilon mein khoT rakha

    kuchh is tarah se nibhai hai dosti hum ne

    dua karo wo kisi dil-jale ki aah na ho

    ufuq ke pas jo dekhi hai aag si hum ne

    ajib sehr tha dil ke qimar-KHane mein

    tab uTh ke aae ki hasti bhi haar di hum ne

    qafas-misal thi 'tariq'-naim duniya bhi

    asir ho ke gizari hai zindagi hum ne

    Source:

    ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 141)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now