Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawaen lakh chalen lau sanbhalti rahti hai

Amjad Islam Amjad

hawaen lakh chalen lau sanbhalti rahti hai

Amjad Islam Amjad

MORE BYAmjad Islam Amjad

    havā.eñ laakh chaleñ lau sañbhaltī rahtī hai

    diye ruuh meñ kyā chiiz jaltī rahtī hai

    kise ḳhabar ki ye ik din kidhar ko le jaa.e

    lahū mauj jo sar meñ uchhaltī rahtī hai

    agar kahūñ to tumheñ bhī na e'tibār aa.e

    jo aarzū mire dil meñ machaltī rahtī hai

    madār se nahīñ haTtā koī sitārā kyuuñ

    ye kis hisār meñ har chiiz chaltī rahtī hai

    vo aadmī huuñ sitāre huuñ tamannā.eñ

    samay raah meñ har shai badaltī rahtī hai

    yūñhī azal se hai 'amjad' zamīn gardish meñ

    kabhī sahar to kabhī raat Dhaltī rahtī hai

    hawaen lakh chalen lau sanbhalti rahti hai

    diye ki ruh mein kya chiz jalti rahti hai

    kise KHabar ki ye ek din kidhar ko le jae

    lahu ki mauj jo sar mein uchhalti rahti hai

    agar kahun to tumhein bhi na e'tibar aae

    jo aarzu mere dil mein machalti rahti hai

    madar se nahin haTta koi sitara kyun

    ye kis hisar mein har chiz chalti rahti hai

    wo aadmi hun sitare hun ya tamannaen

    samay ki rah mein har shai badalti rahti hai

    yunhi azal se hai 'amjad' zamin gardish mein

    kabhi sahar to kabhi raat Dhalti rahti hai

    Source:

    Nazdik (Pg. 32)

    • Author: Amjad Islam Amjad
      • Edition: 2014
      • Publisher: Sang-e-Meel Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now