Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawas ne mujhse puchha tha tumhaara kya irada hai

Aurang zeb

hawas ne mujhse puchha tha tumhaara kya irada hai

Aurang zeb

MORE BYAurang zeb

    havas ne mujh se pūchhā thā tumhārā kyā irāda hai

    badan kār-e-mohabbat meñ barā.e istifāda hai

    kabhī pahnā nahīñ us ne mire ashkoñ pairāhan

    udāsī merī āñkhoñ meñ azal se be-libāda hai

    bhaḌak kar sho.ala-e-vahshat lahū meñ bujh gayā hogā

    zarā aag thī lekin dhuāñ kitnā ziyāda hai

    agar tum ġhaur se dekho ruḳh-e-mahtāb kam paḌ jaa.e

    falak par ik sitāre jabīñ itnī kushāda hai

    mujhe maskan samajhte haiñ ajab aaseb haiñ ġham ke

    maiñ ik do se nimaT bhī luuñ ye puurā ḳhānvāda hai

    use dhande se matlab hai vo dīmak bechne vaalā

    use vo ḳhaak samjhegā ye ḳhvāboñ burāda hai

    ham us se chaah kar bhī bach nahīñ sakte kisī sūrat

    nibhānā paḌtā hai is ko mohabbat ek va.ada hai

    mujhe shatranj ke ḳhānoñ meñ chalnā sikhā.egā

    maiñ farzī ban chukā kab ab tak ik piyāda hai

    na-jāne kātib-e-taqdīr ne kyā likh diyā us par

    mirī taqdīr saf.ha na sīdhā hai na saada hai

    maiñ is hālat meñ 'zeb' āḳhir kahāñ chalte hue jā.ūñ

    na mujh meñ hausla baaqī na manzil hai na jaada hai

    hawas ne mujh se puchha tha tumhaara kya irada hai

    badan kar-e-mohabbat mein barae istifada hai

    kabhi pahna nahin us ne mere ashkon ka pairahan

    udasi meri aankhon mein azal se be-libaada hai

    bhaDak kar shoala-e-wahshat lahu mein bujh gaya hoga

    zara si aag thi lekin dhuan kitna ziyaada hai

    agar tum ghaur se dekho ruKH-e-mahtab kam paD jae

    falak par ek sitare ki jabin itni kushada hai

    mujhe maskan samajhte hain ajab aaseb hain gham ke

    main ek do se nimaT bhi lun ye pura KHanwada hai

    use dhande se matlab hai wo dimak bechne wala

    use wo KHak samjhega ye KHwabon ka burada hai

    hum us se chah kar bhi bach nahin sakte kisi surat

    nibhana paDta hai is ko mohabbat ek wada hai

    mujhe shatranj ke KHanon mein chalna tu sikhaega

    main farzi ban chuka kab ka tu ab tak ek piyaada hai

    na-jaane katib-e-taqdir ne kya likh diya us par

    meri taqdir ka safha na sidha hai na sada hai

    main is haalat mein 'zeb' aaKHir kahan chalte hue jaun

    na mujh mein hausla baqi na manzil hai na jada hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now