Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hayat-e-ishq ki KHurshid-samani nahin jati

Raees Niyazi

hayat-e-ishq ki KHurshid-samani nahin jati

Raees Niyazi

MORE BYRaees Niyazi

    hayāt-e-ishq ḳhurshīd-sāmānī nahīñ jaatī

    miTā jaatā hai dil zarroñ tābānī nahīñ jaatī

    jo kal tak khel samjhe the hameñ barbād kar denā

    ab un maġhrūr nazroñ pashemānī nahīñ jaatī

    hamīñ par lutf bārish hai lekin vā.e-nādānī

    hamīñ se vo nigāh-e-lutf pahchānī nahīñ jaatī

    vatan kyā jur.at-e-ahl-e-junūñ se ho gayā ḳhālī

    ḳhirad quvvat-e-tajdīd-e-vīrānī nahīñ jaatī

    bahār aa.ī khile ġhunche magar ai nāzim-e-gulshan

    hamāre āshiyāñ sho.ala-sāmānī nahīñ jaatī

    mirī sahbā azmat sirf ahl-e-dil samajhte haiñ

    piye jaatā huuñ lekin pāk-dāmānī nahīñ jaatī

    ye kis kāfir-adā jalva-e-ma.asūm dekhā hai

    'ra.īs' ab tak mirī nazroñ hairānī nahīñ jaatī

    hayat-e-ishq ki KHurshid-samani nahin jati

    miTa jata hai dil zarron ki tabani nahin jati

    jo kal tak khel samjhe the hamein barbaad kar dena

    ab un maghrur nazron ki pashemani nahin jati

    hamin par lutf ki barish hai lekin wae-nadani

    hamin se wo nigah-e-lutf pahchani nahin jati

    watan kya jurat-e-ahl-e-junun se ho gaya KHali

    KHirad ki quwwat-e-tajdid-e-virani nahin jati

    bahaar aai khile ghunche magar ai nazim-e-gulshan

    hamare aashiyan ki shoala-samani nahin jati

    meri sahba ki azmat sirf ahl-e-dil samajhte hain

    piye jata hun lekin pak-damani nahin jati

    ye kis kafir-ada ka jalwa-e-masum dekha hai

    'rais' ab tak meri nazron ki hairani nahin jati

    Source:

    Kaif-e-sadrang (Pg. B-67 E-71)

    • Author: Rais Niyazii Bachrauni
      • Edition: 1984
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu Haryana
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now