Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr kahte hain kise ye kya kisi se puchhna

Yunus Tahseen

hijr kahte hain kise ye kya kisi se puchhna

Yunus Tahseen

MORE BYYunus Tahseen

    hijr kahte haiñ kise ye kyā kisī se pūchhnā

    pūchhnā paḌ jaa.e bhī to bāñsurī se pūchhnā

    bāñsurī jo ro rahī hai asl se kaTne dukh

    asl kyā hai ye kisī darvesh se pūchhnā

    aire-ġhaire se kabhī bhī yaar bābat na pūchh

    us jab ho pūchhnā us ke valī se pūchhnā

    ye bhī koī bevafā.ī hai jo apne saath hai

    bevafā logoñ shar hazrat alī se pūchhnā

    be-tukī mat pūchhnā ye jāhilāna kaam hai

    martaba rakhnā hai puurī āgahī se pūchhnā

    be-dilī se baat karnā guftugū aib hai

    mast-hāloñ tabī.at ḳhush-dilī se pūchhnā

    maut kahte haiñ jise vo hai farāvānī naam

    rā.egānī kyā balā hai zindagī se pūchhnā

    hijr kahte hain kise ye kya kisi se puchhna

    puchhna paD jae bhi to bansuri se puchhna

    bansuri jo ro rahi hai asl se kaTne ka dukh

    asl kya hai ye kisi darwesh hi se puchhna

    aire-ghaire se kabhi bhi yar ki babat na puchh

    us ka jab ho puchhna us ke wali se puchhna

    ye bhi koi bewafai hai jo apne sath hai

    bewafa logon ka shar hazrat ali se puchhna

    be-tuki mat puchhna ye jahilana kaam hai

    martaba rakhna hai puri aagahi se puchhna

    be-dili se baat karna guftugu ka aib hai

    mast-haalon ki tabiat KHush-dili se puchhna

    maut kahte hain jise wo hai farawani ka nam

    raegani kya bala hai zindagi se puchhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now