Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr ki raat yaad aati hai

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

hijr ki raat yaad aati hai

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    hijr raat yaad aatī hai

    phir vahī baat yaad aatī hai

    tum ne chheḌā to kuchh khule ham bhī

    baat par baat yaad aatī hai

    tum the aur ham the chāñd niklā thā

    haa.e vo raat yaad aatī hai

    sub.h ke vaqt zarre zarre

    vo munājāt yaad aatī hai

    haa.e kyā chiiz thī javānī bhī

    ab to din-rāt yaad aatī hai

    mai se tauba to 'azīz' magar

    aksar auqāt yaad aatī hai

    hijr ki raat yaad aati hai

    phir wahi baat yaad aati hai

    tum ne chheDa to kuchh khule hum bhi

    baat par baat yaad aati hai

    tum the aur hum the chand nikla tha

    hae wo raat yaad aati hai

    subh ke waqt zarre zarre ki

    wo munajat yaad aati hai

    hae kya chiz thi jawani bhi

    ab to din-raat yaad aati hai

    mai se tauba to ki 'aziz' magar

    aksar auqat yaad aati hai

    Source:

    Anjum Kada (Pg. 15)

    • Author: Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
      • Edition: 1956
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Aligarh
      • Year of Publication: 1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now