Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr mein gham ki chaDhai hai ilahi tauba

Parveen Umm-e-Mushtaq

hijr mein gham ki chaDhai hai ilahi tauba

Parveen Umm-e-Mushtaq

MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq

    hijr meñ ġham chaḌhā.ī hai ilāhī tauba

    kyā nasībe burā.ī hai ilāhī tauba

    kitne kānoñ ke vo kachche haiñ ki allāh panāh

    kyā raqīboñ ban aa.ī hai ilāhī tauba

    naala ho aah ho fariyād ho zaarī ho

    yaar tak sab rasā.ī hai ilāhī tauba

    ho chukā qatl jahāñ teġh bhī uThne nahīñ

    kis qadar narm kalā.ī hai ilāhī tauba

    shaiḳh-sāhib bhī nahīñ bach ke yahāñ se nikle

    kis qadar un ko pilā.ī hai ilāhī tauba

    dil-lagī aap se ḳhalq meñ badnām hue

    nek-nāmī ye kamā.ī hai ilāhī tauba

    chaah kar tum ko bhalā aur ko kyūñkar chāhūñ

    vaah kyā dil meñ samā.ī hai ilāhī tauba

    le ga.e chhīn ke dil mail nahīñ chitvan par

    kitnī diida meñ safā.ī hai ilāhī tauba

    bosa māñgā to kahā shukr-e-ḳhudā achchhā huuñ

    baat kyā jald uḌaa.ī hai ilāhī tauba

    nahīñ ma.alūm ki kis shaḳhs muñh dekhā hai

    aaj phir ġham chaḌhā.ī hai ilāhī tauba

    kūcha-e-ishq sach pūchho to ham ne 'parvīñ'

    kis qadar ḳhaak uḌaa.ī hai ilāhī tauba

    hijr mein gham ki chaDhai hai ilahi tauba

    kya nasibe ki burai hai ilahi tauba

    kitne kanon ke wo kachche hain ki allah ki panah

    kya raqibon ki ban aai hai ilahi tauba

    nala ho aah ho fariyaad ho ya zari ho

    yar tak sab ki rasai hai ilahi tauba

    ho chuka qatl jahan tegh bhi uThne ki nahin

    kis qadar narm kalai hai ilahi tauba

    shaiKH-sahib bhi nahin bach ke yahan se nikle

    kis qadar un ko pilai hai ilahi tauba

    dil-lagi aap se ki KHalq mein badnam hue

    nek-nami ye kamai hai ilahi tauba

    chah kar tum ko bhala aur ko kyunkar chahun

    wah kya dil mein samai hai ilahi tauba

    le gae chhin ke dil mail nahin chitwan par

    kitni dida mein safai hai ilahi tauba

    bosa manga to kaha shukr-e-KHuda achchha hun

    baat kya jald uDai hai ilahi tauba

    nahin malum ki kis shaKHs ka munh dekha hai

    aaj phir gham ki chaDhai hai ilahi tauba

    kucha-e-ishq ki sach puchho to hum ne 'parwin'

    kis qadar KHak uDai hai ilahi tauba

    Source:

    Deewan-e-parveen (Pg. ebook-166 page-163)

    • Author: Parveen Umm-e-Mushtaq
      • Publisher: Azizi Press
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now