Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hir Khaar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum

Khalilur Rahman Azmi

hir Khaar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    hir ḳhār-o-ḳhas se vaz.a nibhāte rahe haiñ ham

    yuuñ zindagī aag jalāte rahe haiñ ham

    shīrīniyoñ ko zahr ke dāmoñ meñ biich kar

    naġhme hayāt-e-nau ke sunāte rahe haiñ ham

    is to daad degā hamārā koī raqīb

    jab sañg uThā to sar bhī uThāte rahe haiñ ham

    dil pe zaḳhm aur na koī nayā lage

    apno se apnā haal chhupāte rahe haiñ ham

    tere liye raat bhar ai mahr-e-zar-nigār

    tārīkiyoñ ke naaz uThāte rahe haiñ ham

    ab koī taaza phuul khilā ḳhāk-e-pā.emāl!

    apnā lahū zamīñ ko pilāte rahe haiñ ham

    hir KHar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum

    yun zindagi ki aag jalate rahe hain hum

    shiriniyon ko zahr ke damon mein bich kar

    naghme hayat-e-nau ke sunate rahe hain hum

    is ki to dad dega hamara koi raqib

    jab sang uTha to sar bhi uThate rahe hain hum

    ta dil pe zaKHm aur na koi naya lage

    apno se apna haal chhupate rahe hain hum

    tere liye hi raat bhar ai mahr-e-zar-nigar

    tarikiyon ke naz uThate rahe hain hum

    ab koi taza phul khila KHak-e-paemal!

    apna lahu zamin ko pilate rahe hain hum

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 71)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now