Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hisar-e-jism se aazad hone wala hun

Nihal Rizvi

hisar-e-jism se aazad hone wala hun

Nihal Rizvi

MORE BYNihal Rizvi

    hisār-e-jism se āzād hone vaalā huuñ

    kisī ko ke kisī shai ko khone vaalā huuñ

    jo miT ga.e haiñ vo aqdār jam.a karne haiñ

    bikhar ga.e haiñ jo motī pirone vaalā huuñ

    hai qaht-e-āb manzar to chār-sū lekin

    maiñ apnī chashm-e-haqīqat bhigone vaalā huuñ

    maiñ apne dard ke tūfāñ dabā.e siine meñ

    hañsā chukā huuñ zamāne ko rone vaalā huuñ

    ye jāntā huuñ phir ik baar koī kāTegā

    vafā fasl phir ik baar bone vaalā huuñ

    ye jaan kar bhī nadī par nazar Tikā.e huuñ

    sarāb ban ke sarāboñ meñ khone vaalā huuñ

    hazār din meñ maiñ sūraj banā phirūñ phir bhī

    siyāh raat ke maqtal meñ khone vaalā huuñ

    thapak thapak ke sulāte haiñ is liye 'nihāl'

    ki ḳhvāb jaan ga.e haiñ maiñ sone vaalā huuñ

    hisar-e-jism se aazad hone wala hun

    kisi ko pa ke kisi shai ko khone wala hun

    jo miT gae hain wo aqdar jama karne hain

    bikhar gae hain jo moti pirone wala hun

    hai qaht-e-ab ka manzar to chaar-su lekin

    main apni chashm-e-haqiqat bhigone wala hun

    main apne dard ke tufan dabae sine mein

    hansa chuka hun zamane ko rone wala hun

    ye jaanta hun phir ek bar koi kaTega

    wafa ki fasl phir ek bar bone wala hun

    ye jaan kar bhi nadi par nazar Tikae hun

    sarab ban ke sarabon mein khone wala hun

    hazar din mein main suraj bana phirun phir bhi

    siyah raat ke maqtal mein khone wala hun

    thapak thapak ke sulate hain is liye hi 'nihaal'

    ki KHwab jaan gae hain main sone wala hun

    Source:

    Taaki Sanad Rahe (Pg. 152)

    • Author: Nihal Rizvi
      • Publisher: Nihal Rizvi
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now