Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe

Riaz Majeed

ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe

Riaz Majeed

MORE BYRiaz Majeed

    ho gayā hai ek ik pal kāTnā bhārī mujhe

    maar degī zindagānī girāñ-bārī mujhe

    dar-ba-dar phir phir ke ḳhud apne se nafrat ho ga.ī

    khokhlā kar gayā hai rañj-e-bekārī mujhe

    itnā kuchh dekhā ki sab kuchh ek lagne lagā

    kar gayā hai vaqt mahsūsāt se aarī mujhe

    maiñ siyah malbūs guzre vaqt huuñ mātamī

    ziist ne sauñpī hai maazī azā-dārī mujhe

    ek ik kar ke kaTe bāhar ke saare rābte

    kar ga.ī tanhā mirī sochoñ bīmārī mujhe

    meñ aatā hai bikhar kar dahr bhar meñ phail jā.ūñ

    qabr lagtī hai badan chār-dīvārī mujhe

    nazar aayā to jangal zaat jal jā.egā

    raakh kar degī tirī ḳhvāhish chingārī mujhe

    roz o shab rahtā huuñ gum-sum aur mutafakkir 'riyāz'

    karnī hai kis imtihāñ jaane tayyārī mujhe

    ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe

    mar degi zindagani ki giran-bari mujhe

    dar-ba-dar phir phir ke KHud apne se nafrat ho gai

    khokhla sa kar gaya hai ranj-e-bekari mujhe

    itna kuchh dekha ki sab kuchh ek sa lagne laga

    kar gaya hai waqt mahsusat se aari mujhe

    main siyah malbus guzre waqt ka hun matami

    zist ne saunpi hai mazi ki aza-dari mujhe

    ek ek kar ke kaTe bahar ke sare rabte

    kar gai tanha meri sochon ki bimari mujhe

    ji mein aata hai bikhar kar dahr bhar mein phail jaun

    qabr lagti hai badan ki chaar-diwari mujhe

    tu nazar aaya to jangal zat ka jal jaega

    rakh kar degi teri KHwahish ki chingari mujhe

    roz o shab rahta hun gum-sum aur mutafakkir 'riyaz'

    karni hai kis imtihan ki jaane tayyari mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now