Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hoti hai haar jit pinhan baat baat mein

Muneer Shikohabadi

hoti hai haar jit pinhan baat baat mein

Muneer Shikohabadi

MORE BYMuneer Shikohabadi

    hotī hai haar jiit pinhāñ baat baat meñ

    chaupaḌ bichhī hai anjuman-e-kā.enāt meñ

    rakh fikr-e-jism āryatī kā.enāt meñ

    chorī na jaa.eñ maañg ke kapḌe barāt meñ

    pyāse mirī lahū ke haiñ sab kā.enāt meñ

    kashti-e-umr chaltī hai āb-e-furāt meñ

    be-aql ho ke aa ga.e hastī ghaat meñ

    dīvāne ban ke phañs ga.e qaid-e-hayāt meñ

    saaqī se kah do sabza-e-tar meñ bahā sharāb

    Tāñke kadū bel qabā-e-nabāt meñ

    talḳh guftugū lab-e-jāñ-baḳhsh se mudām

    afyūn gholī aap ne āb-e-hayāt meñ

    qaa.em mizājiyoñ meñ bhī ġhaflat muhīt hai

    hai ḳhvāb-e-marg maḳhmal-e-rañg-e-sabāt meñ

    hoñToñ ishq thā ye rahe aabrū baat

    murde ko ġhusl dījiye āb-e-hayāt meñ

    pahuñchā jo tere kūche meñ ḳhud-rafta ho gayā

    jaatā rahā maiñ aap se rāh-e-najāt meñ

    malte haiñ ḳhūb-rū tire ḳheme se chhātiyāñ

    añgiyā Doriyāñ haiñ muqarrar qanāt meñ

    hastī meñ tark kījiye zulfoñ ke ishq ko

    zanjīreñ dohrī toḌiye qaid-e-hayāt meñ

    mūsā-o-ḳhizr ne tire baTne ke vāste

    gholā hai barq-e-tūr ko āb-e-hayāt meñ

    ġhārat kiyā aḳhīr javānī meñ dahr ko

    duniyā tamām luuT thoḌī raat meñ

    juz dāġh-e-zindagī meñ nahīñ aur kuchh surūr

    afyūn kab hai lāla-e-rañg-e-sabāt meñ

    muddat se Dher jāda-e-bāk-e-najaf meñ hai

    takiya hai is faqīr rāh-e-najāt meñ

    shādī huī jo raat ko khele vo ganjifa

    raushan kiyā ġhulām ne ikkā barāt meñ

    kūche meñ rakh ke āshiq-e-muztar haDDiyāñ

    machhlī ke kāñTe bo diye rāh-e-najāt meñ

    dil safā ho jāma-e-hastī meñ jalva-gar

    jeb-e-sahar ugā.ūñ qabā-e-hayāt meñ

    sāvan ke badle gā.iye 'hāfiz' ke sher-e-tar

    jhūlā zarūr Dāliye shāḳh-e-nabāt meñ

    hastī qaid se dil-e-betāb chhup gayā

    machhlī na Thahrī bāzū-e-sham-e-hayāt meñ

    murde jilā.e saikḌoñ Thukrā kar ai sanam

    dast-e-masīh hai asar terī laat meñ

    shīrīñ-adā.iyāñ bhī hoñ raftār-e-nāz bhī

    kāfūr-e-sub.h-e-hashr ho qand-o-nabāt meñ

    hoñToñ mastī duur ne khaTā.ī se

    lemuu. chāshnī hai tirī mīThī baat meñ

    andhā banā.eñge vo rulā kar itaab se

    rahte haiñ roz aañkh churāne ghaat meñ

    maut aa.e mujh ko hijr meñ ahmad ai 'munīr'

    vallāh kuchh mazā nahīñ aisī hayāt meñ

    hoti hai haar jit pinhan baat baat mein

    chaupaD bichhi hai anjuman-e-kaenat mein

    rakh fikr-e-jism aaryati kaenat mein

    chori na jaen mang ke kapDe baraat mein

    pyase meri lahu ke hain sab kaenat mein

    kashti-e-umr chalti hai aab-e-furaat mein

    be-aql ho ke aa gae hasti ki ghat mein

    diwane ban ke phans gae qaid-e-hayat mein

    saqi se kah do sabza-e-tar mein baha sharab

    Tanke kadu ki bel qaba-e-nabaat mein

    ki talKH guftugu lab-e-jaan-baKHsh se mudam

    afyun gholi aap ne aab-e-hayat mein

    qaem mizajiyon mein bhi ghaflat muhit hai

    hai KHwab-e-marg maKHmal-e-rang-e-sabaat mein

    honTon ka ishq tha ye rahe aabru ki baat

    murde ko ghusl dijiye aab-e-hayat mein

    pahuncha jo tere kuche mein KHud-rafta ho gaya

    jata raha main aap se rah-e-najat mein

    malte hain KHub-ru tere KHeme se chhatiyan

    angiya ki Doriyan hain muqarrar qanat mein

    hasti mein tark kijiye zulfon ke ishq ko

    zanjiren dohri toDiye qaid-e-hayat mein

    musa-o-KHizr ne tere baTne ke waste

    ghola hai barq-e-tur ko aab-e-hayat mein

    ghaarat kiya aKHir jawani mein dahr ko

    duniya tamam luT li thoDi si raat mein

    juz dagh-e-zindagi mein nahin aur kuchh surur

    afyun kab hai lala-e-rang-e-sabaat mein

    muddat se Dher jada-e-bak-e-najaf mein hai

    takiya hai is faqir ka rah-e-najat mein

    shadi hui jo raat ko khele wo ganjifa

    raushan kiya ghulam ne ikka baraat mein

    kuche mein rakh ke aashiq-e-muztar ki haDDiyan

    machhli ke kanTe bo diye rah-e-najat mein

    dil ki safa ho jama-e-hasti mein jalwa-gar

    jeb-e-sahar ugaun qaba-e-hayat mein

    sawan ke badle gaiye 'hafiz' ke sher-e-tar

    jhula zarur Daliye shaKH-e-nabaat mein

    hasti ki qaid se dil-e-betab chhup gaya

    machhli na Thahri bazu-e-sham-e-hayat mein

    murde jilae saikDon Thukra kar ai sanam

    dast-e-masih ka hai asar teri lat mein

    shirin-adaiyan bhi hon raftar-e-naz bhi

    kafur-e-subh-e-hashr ho qand-o-nabaat mein

    honTon ki masti dur ki tu ne khaTai se

    lemu ki chashni hai teri miThi baat mein

    andha banaenge wo rula kar itab se

    rahte hain roz aankh churane ki ghat mein

    maut aae mujh ko hijr mein ahmad ki ai 'munir'

    wallah kuchh maza nahin aisi hayat mein

    Source:

    Muntakhabul-Alam (Pg. 157)

    • Author: Muneer Shikohabadi
      • Edition: 1831
      • Publisher: Matba Saeedi
      • Year of Publication: 1848
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now