aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hua chali to mere jism ne kaha mujhko

Mohammad Alvi

hua chali to mere jism ne kaha mujhko

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    havā chalī to mire jism ne kahā mujh ko

    akelā chhoḌ ke bhī kahāñ chalā mujh ko

    maiñ kab se DhūñDhtā phirtā huuñ apnī qismat ko

    ye tere haath meñ kyā hai zarā dikhā mujh ko

    dahaktī jaltī huī dopahar milī lekin

    kisī daraḳht saayā na mil sakā mujh ko

    maiñ apne room battī jalā.e baiThā huuñ

    are ye shaam se pahle kyā huā mujh ko

    balā ke shor meñ Duubī huī sadā huuñ maiñ

    kisī se kyā kahūñ maiñ ne bhī kab sunā mujh ko

    vo koī aur hai 'alvī' jo sher kahtā hai

    tum is ke jurm dete ho kyuuñ sazā mujh ko

    hawa chali to mere jism ne kaha mujh ko

    akela chhoD ke tu bhi kahan chala mujh ko

    main kab se DhunDhta phirta hun apni qismat ko

    ye tere hath mein kya hai zara dikha mujh ko

    dahakti jalti hui dopahar mili lekin

    kisi daraKHt ka saya na mil saka mujh ko

    main apne room ki batti jalae baiTha hun

    are ye sham se pahle hi kya hua mujh ko

    bala ke shor mein Dubi hui sada hun main

    kisi se kya kahun main ne bhi kab suna mujh ko

    wo koi aur hai 'alwi' jo sher kahta hai

    tum is ke jurm ki dete ho kyun saza mujh ko

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 900)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now