Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastur pahlu mein

Agha Hajju Sharaf

hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastur pahlu mein

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    huā hai taur-e-barbādī jo be-dastūr pahlū meñ

    dil-e-betāb ko rahtā hai nā-manzūr pahlū meñ

    ajab dil ko lagī hai lau ajab hai nuur pahlū meñ

    kiyā hai ishq ne raushan charāġh-e-tūr pahlū meñ

    kahā jo maiñ ne mere dil ik tasvīr khiñchvā do

    mañgā kar rakh diyā ik shīsha chaknāchūr pahlū meñ

    ḳhushī ho ho ke ulfat meñ jo bār-e-ġham uThātā hai

    dil-e-shaidā hai hai ishq mazdūr pahlū meñ

    havas hai dil ko tere haath se majrūh hone

    lagā de ik chhurī ai qātil-e-maġhrūr pahlū meñ

    ham-āġhoshī se jab se yaar ne pahlū-tahī hai

    usī din se huī hai be-kalī māmūr pahlū meñ

    tirī tasvīr jab maiñ DhūñDne uThtā huuñ jannat meñ

    biThā letī hai minnat kar ke mujh ko huur pahlū meñ

    taḌap jaatā hai dil terī judā.ī yaad aatī hai

    chamak jaatā hai yā-rab kis parī nuur pahlū meñ

    tasadduq tujh pe jis dam najd meñ ho jā.egā majnūñ

    jagah degā tirā dīvāna-e-maġhfūr pahlū meñ

    ḳhadañg-e-nāz aamad par aamad is meñ rahtī hai

    ye bāb-e-dil-kushā hai ki hai nāsūr pahlū meñ

    ilāhī mere us ke vo ham-āġhoshī sūrat ho

    ki jaise dil hai pechīdgī mash.hūr pahlū meñ

    huā is darja ġhalba us pe ThanDī ThanDī sāñsoñ

    ki āḳhir dil hamārā ho gayā kāfūr pahlū meñ

    na.ī tīr-e-lab-e-ma.ashūq ne raḳhna-pardāzī

    tasallut to kiyā dil meñ huā nāsūr pahlū meñ

    barābar apne baiThe dekhā hai yūsuf ko ruuyā meñ

    ḳhudā chāhe to aa baiThe vo rashk-e-hūr pahlū meñ

    muslim us ke hone 'sharaf' tadbīr batlāo

    paḌā hai muddatoñ se shīsha-e-dil chuur pahlū meñ

    hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastur pahlu mein

    dil-e-betab ko rahta hai na-manzur pahlu mein

    ajab dil ko lagi hai lau ajab hai nur pahlu mein

    kiya hai ishq ne raushan charagh-e-tur pahlu mein

    kaha jo main ne mere dil ki ek taswir khinchwa do

    manga kar rakh diya ek shisha chaknachur pahlu mein

    KHushi ho ho ke ulfat mein jo bar-e-gham uThata hai

    dil-e-shaida hai ya hai ishq ka mazdur pahlu mein

    hawas hai dil ko tere hath se majruh hone ki

    laga de ek chhuri ai qatil-e-maghrur pahlu mein

    ham-aghoshi se jab se yar ne pahlu-tahi ki hai

    usi din se hui hai be-kali mamur pahlu mein

    teri taswir jab main DhunDne uThta hun jannat mein

    biTha leti hai minnat kar ke mujh ko hur pahlu mein

    taDap jata hai dil teri judai yaad aati hai

    chamak jata hai ya-rab kis pari ka nur pahlu mein

    tasadduq tujh pe jis dam najd mein ho jaega majnun

    jagah dega tera diwana-e-maghfur pahlu mein

    KHadang-e-naz ki aamad par aamad is mein rahti hai

    ye bab-e-dil-kusha hai ya ki hai nasur pahlu mein

    ilahi mere us ke wo ham-aghoshi ki surat ho

    ki jaise dil ki hai pechidgi mashhur pahlu mein

    hua is darja ghalba us pe ThanDi ThanDi sanson ka

    ki aaKHir dil hamara ho gaya kafur pahlu mein

    nai tir-e-lab-e-mashuq ne ki raKHna-pardazi

    tasallut to kiya dil mein hua nasur pahlu mein

    barabar apne baiThe dekha hai yusuf ko ruya mein

    KHuda chahe to aa baiThe wo rashk-e-hur pahlu mein

    muslim us ke hone ki 'sharaf' tadbir batlao

    paDa hai muddaton se shisha-e-dil chur pahlu mein

    Source:

    Deewan-e-Sharf(Rekhta Website) (Pg. 174)

    • Author: Agha Hajju Sharaf
      • Publisher: Matba Jafari, Luckhnow
      • Year of Publication: 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now