Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hudud-e-akl-o-sharb ka sawal hi nahin raha

Shaad Aarfi

hudud-e-akl-o-sharb ka sawal hi nahin raha

Shaad Aarfi

MORE BYShaad Aarfi

    hudūd-e-akl-o-sharb savāl nahīñ rahā

    diloñ meñ ḳhauf-e-rabb-e-zul-jalāl nahīñ rahā

    ma.āl-e-arz-e-hāl malāl nahīñ rahā

    vo bazm-e-ġhair thī mujhe ḳhayāl nahīñ rahā

    jabhī to bāġhbāñ guftugū meñ jhol dekhte

    kabhī kisī tarah ehtimāl nahīñ rahā

    ye vasvase baat apne muñh se mat nikāliye

    koī sharīk-e-hāl-e-pur-malāl nahīñ rahā

    jalāl ko bhī vaqt ne samo diyā hai sher meñ

    ġhazal matmah-e-nazar jamāl nahīñ rahā

    tasalliyoñ ke zail meñ dilā rahe ho yaad kyuuñ

    tabāhiyoñ jab mujhe ḳhayāl nahīñ rahā

    mire bayān-e-hāl-e-dard-e-dil meñ chāra-kār ne

    vo rañg bhar diyā ki merā haal nahīñ rahā

    jahāñ shabāb-o-shaġhl-e-mai ne kho diye the hosh tak

    maiñ bin-piye uThā to kuchh kamāl nahīñ rahā

    ḳhudā-e-kār-sāz ke karam se 'shād'-ārfī

    kabhī mujhe salīqa-e-savāl nahīñ rahā

    hudud-e-akl-o-sharb ka sawal hi nahin raha

    dilon mein KHauf-e-rabb-e-zul-jalal hi nahin raha

    maal-e-arz-e-haal ka malal hi nahin raha

    wo bazm-e-ghair thi mujhe KHayal hi nahin raha

    jabhi to baghban ki guftugu mein jhol dekhte

    kabhi kisi tarah ka ehtimal hi nahin raha

    ye waswase ki baat apne munh se mat nikaliye

    koi sharik-e-haal-e-pur-malal hi nahin raha

    jalal ko bhi waqt ne samo diya hai sher mein

    ghazal ka matmah-e-nazar jamal hi nahin raha

    tasalliyon ke zail mein dila rahe ho yaad kyun

    tabahiyon ka jab mujhe KHayal hi nahin raha

    mere bayan-e-haal-e-dard-e-dil mein chaara-kar ne

    wo rang bhar diya ki mera haal hi nahin raha

    jahan shabab-o-shaghl-e-mai ne kho diye the hosh tak

    main bin-piye uTha to kuchh kamal hi nahin raha

    KHuda-e-kar-saz ke karam se 'shad'-arfi

    kabhi mujhe saliqa-e-sawal hi nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now