Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-e-be-mehr ko parwa-e-tamanna kya ho

Hasrat Mohani

husn-e-be-mehr ko parwa-e-tamanna kya ho

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    husn-e-be-mehr ko parvā-e-tamannā kyā ho

    jab ho aisā to ilāj-e-dil-e-shaidā kyā ho

    kasrat-e-husn ye shaan na dekhī na sunī

    barq larzāñ hai koī garm-e-tamāshā kyā ho

    be-misālī ke haiñ ye rang jo bā-vasf-e-hijāb

    be-naqābī pe tirā jalva-e-yaktā kyā ho

    dekheñ ham bhī jo tire husn-e-dil-ārā bahār

    is meñ nuqsān tirā ai gul-e-rā'nā kyā ho

    ham ġharaz-mand kahāñ martaba-e-ishq kahāñ

    ham ko samjheñ vo havas-kār to bejā kyā ho

    dil-farebī hai tirī bā.is-e-sad josh o ḳharosh

    haal ye ho to dil-e-zār shakebā kyā ho

    raat din rahne lagī us sitam-ījād yaad

    'hasrat' ab dekhiye anjām hamārā kyā ho

    husn-e-be-mehr ko parwa-e-tamanna kya ho

    jab ho aisa to ilaj-e-dil-e-shaida kya ho

    kasrat-e-husn ki ye shan na dekhi na suni

    barq larzan hai koi garm-e-tamasha kya ho

    be-misali ke hain ye rang jo ba-wasf-e-hijab

    be-naqabi pe tera jalwa-e-yakta kya ho

    dekhen hum bhi jo tere husn-e-dil-ara ki bahaar

    is mein nuqsan tera ai gul-e-ra'na kya ho

    hum gharaz-mand kahan martaba-e-ishq kahan

    hum ko samjhen wo hawas-kar to beja kya ho

    dil-farebi hai teri bais-e-sad josh o KHarosh

    haal ye ho to dil-e-zar shakeba kya ho

    raat din rahne lagi us sitam-ijad ki yaad

    'hasrat' ab dekhiye anjam hamara kya ho

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now