Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh

Arman Najmi

ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    ik be-nishān harf-e-sadā taraf na dekh

    vo duur chukā hai havā taraf na dekh

    ābād kar le dīda-o-dil meñ sanam-kade

    kahtā hai vo ki ek ḳhudā taraf na dekh

    apnī āfiyat tag-o-dau meñ mahv rah

    is sar-zamīn-e-āh-o-bukā taraf na dekh

    apne ufuq tañg fazā se kaam rakh

    maidān-e-hashr dasht-e-balā taraf na dekh

    kar le na apne shahr-e-tilismāt asiir

    us nigāh-e-hosh-rubā taraf na dekh

    rakh ḳhāk-e-dil pe apne qadam ehtiyāt se

    mauj-e-havā-e-samt-numā taraf na dekh

    ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh

    wo dur ja chuka hai hawa ki taraf na dekh

    aabaad kar le dida-o-dil mein sanam-kade

    kahta hai wo ki ek KHuda ki taraf na dekh

    apni hi aafiyat ki tag-o-dau mein mahw rah

    is sar-zamin-e-ah-o-buka ki taraf na dekh

    apne ufuq ki tang faza se hi kaam rakh

    maidan-e-hashr dasht-e-bala ki taraf na dekh

    kar le na apne shahr-e-tilismat ka asir

    us ki nigah-e-hosh-ruba ki taraf na dekh

    rakh KHak-e-dil pe apne qadam ehtiyat se

    mauj-e-hawa-e-samt-numa ki taraf na dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now