Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek be-wafa ko pyar kya hae kya kya

Behzad Lakhnavi

ek be-wafa ko pyar kya hae kya kya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ik be-vafā ko pyaar kyā haa.e kyā kyā

    ḳhud dil ko be-qarār kyā haa.e kyā kyā

    mā'lūm thā ki 'ahd-e-vafā un jhuuT hai

    is par bhī e'tibār kyā haa.e kyā kyā

    vo dil ki jis pe qīmat-e-kaunain thī nisār

    nazr-e-nigāh-e-yār kyā haa.e kyā kyā

    ḳhud ham ne faash faash kyā rāz-e-āshiqī

    dāman ko taar taar kyā haa.e kyā kiyā

    aaheñ bhī baar baar bharīñ un ke hijr meñ

    naala bhī baar baar kyā haa.e kyā kyā

    miTne ġham nahīñ hai bas itnā malāl

    kyuuñ terā intizār kyā haa.e kyā kyā

    ham ne to ġham ko siine se apne lagā liyā

    ġham ne hameñ shikār kyā haa.e kyā kyā

    sayyād razā ye ham aañsū na sake

    uzr-e-ġham-bahār kyā haa.e kyā kyā

    qismat ne aah ham ko ye din bhī dikhā diye

    qismat pe e'tibār kyā haa.e kyā kyā

    rañgīnī-e-ḳhayāl se kuchh bhī na bach sakā

    har shai ko pur-bahār kyā haa.e kyā kyā

    dil ne bhulā bhulā ke tirī bevafā.iyāñ

    phir ahd ustuvār kyā haa.e kyā kyā

    un ke sitam bhī sah ke na un se kyā gila

    kyuuñ jabr iḳhtiyār kyā haa.e kyā kyā

    kāfir chashm-e-nāz pe kyā dil-jigar zikr

    īmān tak nisār kyā haa.e kyā kyā

    kaalī ghaTā ke uThte tauba na rah sakī

    tauba pe e'tibār kyā haa.e kyā kyā

    shām-e-firāq qalb ke dāġhoñ ko gin liyā

    tāroñ ko bhī shumār kyā haa.e kyā kyā

    'bahzād' na qadar koī tum ko ho sakī

    tum ne zalīl-o-ḳhvār kyā haa.e kyā kyā

    ek be-wafa ko pyar kya hae kya kya

    KHud dil ko be-qarar kya hae kya kya

    ma'lum tha ki 'ahd-e-wafa un ka jhuT hai

    is par bhi e'tibar kya hae kya kya

    wo dil ki jis pe qimat-e-kaunain thi nisar

    nazr-e-nigah-e-yar kya hae kya kya

    KHud hum ne fash fash kya raaz-e-ashiqi

    daman ko tar tar kya hae kya kiya

    aahen bhi bar bar bharin un ke hijr mein

    nala bhi bar bar kya hae kya kya

    miTne ka gham nahin hai bas itna malal hi

    kyun tera intizar kya hae kya kya

    hum ne to gham ko sine se apne laga liya

    gham ne hamein shikar kya hae kya kya

    sayyaad ki raza ye hum aansu na pi sake

    uzr-e-gham-bahaar kya hae kya kya

    qismat ne aah hum ko ye din bhi dikha diye

    qismat pe e'tibar kya hae kya kya

    rangini-e-KHayal se kuchh bhi na bach saka

    har shai ko pur-bahaar kya hae kya kya

    dil ne bhula bhula ke teri bewafaiyan

    phir ahd ustuwar kya hae kya kya

    un ke sitam bhi sah ke na un se kya gila

    kyun jabr iKHtiyar kya hae kya kya

    kafir ki chashm-e-naz pe kya dil-jigar ka zikr

    iman tak nisar kya hae kya kya

    kali ghaTa ke uThte hi tauba na rah saki

    tauba pe e'tibar kya hae kya kya

    sham-e-firaq qalb ke daghon ko gin liya

    taron ko bhi shumar kya hae kya kya

    'bahzad' ki na qadar koi tum ko ho saki

    tum ne zalil-o-KHwar kya hae kya kya

    Source:

    Kaif-o-Suroor (Pg. B-7 E-5)

    • Author: Behzad Lakhnavi
      • Publisher: Saqi Book Depot, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now