aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek fana ke ghaT utra ek pagal ho gaya

Aftab Iqbal Shamim

ek fana ke ghaT utra ek pagal ho gaya

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    ik fanā ke ghaaT utrā ek pāgal ho gayā

    ya.anī mansūba zamāne mukammal ho gayā

    jism ke barfāb meñ āñkheñ chamaktī haiñ abhī

    kaun kahtā hai ki us hausla shal ho gayā

    zehn par be-samtiyoñ bārisheñ itnī huiiñ

    ye ilāqa to ghane rastoñ jañgal ho gayā

    is kalīd-e-ism-e-nā-ma.alūm se kaise khule

    dil darvāza ki andar se muqaffal ho gayā

    sho.ala-zār-e-gul se guzre to sar-e-āġhāz

    ik sharar āñkhoñ se utrā ḳhuun meñ hal ho gayā

    shahr-e-ā.inda dariyā hai giraft-e-reg meñ

    bas ki jo honā hai us faisla kal ho gayā

    mausam-e-tāḳhīr-e-gul aatā hai kis ke naam par

    kaun hai jis lahū is ḳhaak meñ hal ho gayā

    is qadar ḳhvāboñ ko maslā pā-e-āhan-posh ne

    shauq aa.iin bil-āḳhir mo.attal ho gayā

    ek fana ke ghaT utra ek pagal ho gaya

    yani mansuba zamane ka mukammal ho gaya

    jism ke barfab mein aankhen chamakti hain abhi

    kaun kahta hai ki us ka hausla shal ho gaya

    zehn par be-samtiyon ki barishen itni huin

    ye ilaqa to ghane raston ka jangal ho gaya

    is kalid-e-ism-e-na-malum se kaise khule

    dil ka darwaza ki andar se muqaffal ho gaya

    shoala-zar-e-gul se guzre to sar-e-aghaz hi

    ek sharar aankhon se utra KHun mein hal ho gaya

    shahr-e-ainda ka dariya hai giraft-e-reg mein

    bas ki jo hona hai us ka faisla kal ho gaya

    mausam-e-taKHir-e-gul aata hai kis ke nam par

    kaun hai jis ka lahu is KHak mein hal ho gaya

    is qadar KHwabon ko masla pa-e-ahan-posh ne

    shauq ka aain bil-aKHir moattal ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now