ek laDka tha ek laDki thi
ik laḌkā thā ik laḌkī thī
aage allah kī marzī thī
pahlā phuul khilā thā dil meñ
lahū meñ ḳhushbū dauḌ ga.ī thī
ab kyā jaane lekin pahle
chāñd pe ik buḌhiyā rahtī thī
ye bāzār kahāñ thā pahle
yahāñ to pahle ek galī thī
paanī meñ bijlī kā ghar thā
patthar meñ chingārī chhupī thī
ik bachcha paidal jaatā thā
raste meñ ik car khaḌī thī
ek peḌ thā harā-bharā sā
peḌ ke andar ik kursī thī
donoñ rangoñ ke maare the
ek phuul thā ik titlī thī
sach hai us ke shahr meñ 'alvī'
din chhoTā thā raat baḌī thī
ek laDka tha ek laDki thi
aage allah ki marzi thi
pahla phul khila tha dil mein
lahu mein KHushbu dauD gai thi
ab kya jaane lekin pahle
chand pe ek buDhiya rahti thi
ye bazar kahan tha pahle
yahan to pahle ek gali thi
pani mein bijli ka ghar tha
patthar mein chingari chhupi thi
ek bachcha paidal jata tha
raste mein ek car khaDi thi
ek peD tha hara-bhara sa
peD ke andar ek kursi thi
donon rangon ke mare the
ek phul tha ek titli thi
sach hai us ke shahr mein 'alwi'
din chhoTa tha raat baDi thi
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 94)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.