aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek masraf-e-auqat-e-shabina nikal aaya

Muzaffar Hanfi

ek masraf-e-auqat-e-shabina nikal aaya

Muzaffar Hanfi

MORE BYMuzaffar Hanfi

    ik masraf-e-auqāt-e-shabīna nikal aayā

    zulmat meñ tirī yaad ziina nikal aayā

    har-chand ki mahfil ne mirī qadr bahut

    uktā ke añgūThī se nagīna nikal aayā

    phir koh-kanī Dhaal rahī hai na.e teshe

    phir faḳhr se chaTTān siina nikal aayā

    sach-much vo taġhāful se kināra na kar le

    maiñ sochne baiThā to pasīna nikal aayā

    ġhota jo lagāyā hai to māyūs huā huuñ

    har mauj ke dāman meñ safīna nikal aayā

    ghabrāyā huā dekh ke patjhaḌ ke aqab se

    mere liye sāvan mahīna nikal aayā

    jab vaqt ne chhānī haiñ 'muzaffar' bayāzeñ

    har she'r meñ nudrat dafīna nikal aayā

    ek masraf-e-auqat-e-shabina nikal aaya

    zulmat mein teri yaad ka zina nikal aaya

    har-chand ki mahfil ne meri qadr bahut ki

    ukta ke anguThi se nagina nikal aaya

    phir koh-kani Dhaal rahi hai nae teshe

    phir faKHr se chaTTan ka sina nikal aaya

    sach-much wo taghaful se kinara hi na kar le

    main sochne baiTha to pasina nikal aaya

    ghota jo lagaya hai to mayus hua hun

    har mauj ke daman mein safina nikal aaya

    ghabraya hua dekh ke patjhaD ke aqab se

    mere liye sawan ka mahina nikal aaya

    jab waqt ne chhani hain 'muzaffar' ki bayazen

    har she'r mein nudrat ka dafina nikal aaya

    Source:

    kamaan (Pg. 225)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now