aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka

Ahsan Marahravi

ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka

Ahsan Marahravi

MORE BYAhsan Marahravi

    ik nazar meñ dard kho denā dil-e-bīmār

    ye to adnā karishma hai nigāh-e-yār

    ġhair mumkin hai ki ho pāmāl koī hashr meñ

    ho na jab tak kuchh ishāra aap raftār

    hazrat-e-ādam se iiñ dam hue sab ishq dost

    hai azal se daur daura husn sarkār

    ham jo mar kar uThe is par ta.ajjub kyā ki hai

    vo karāmat chaal ye mojaza guftār

    aap ke ġhamze uThā.ūñ ġhair ke taane sunūñ

    banda parvar maiñ ne chhoḌā ishq bhī sarkār

    ābloñ ko sar uThāne zarā mohlat nahīñ

    hai karam sahrā-navardī meñ ye nok-e-ḳhār

    is se baḌh kar aap 'ahsan' chāhte haiñ aur kyā

    dostoñ daad hai goyā sila ash.ār

    ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka

    ye to adna sa karishma hai nigah-e-yar ka

    ghair mumkin hai ki ho pamal koi hashr mein

    ho na jab tak kuchh ishaara aap ki raftar ka

    hazrat-e-adam se ta in dam hue sab ishq dost

    hai azal se daur daura husn ki sarkar ka

    hum jo mar kar ji uThe is par tajjub kya ki hai

    wo karamat chaal ki ye mojaza guftar ka

    aap ke ghamze uThaun ghair ke tane sunun

    banda parwar main ne chhoDa ishq bhi sarkar ka

    aablon ko sar uThane ki zara mohlat nahin

    hai karam sahra-nawardi mein ye nok-e-KHar ka

    is se baDh kar aap 'ahsan' chahte hain aur kya

    doston ki dad hai goya sila ashaar ka

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now