Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek umr bhaTakte rahe ghar hi nahin aaya

Akhtar Shahjahanpuri

ek umr bhaTakte rahe ghar hi nahin aaya

Akhtar Shahjahanpuri

MORE BYAkhtar Shahjahanpuri

    ik umr bhaTakte rahe ghar nahīñ aayā

    sāhil tamannā thī nazar nahīñ aayā

    raushan haiñ jahāñ sham-e-mohabbat qatāreñ

    vo kunj-e-kam-āsār nazar nahīñ aayā

    maiñ jhuuT ko sachchā.ī ke paikar meñ sajātā

    kyā kījiye mujh ko ye hunar nahīñ aayā

    vo gumbad-e-be-dar thā ki dīvār-e-anā thī

    manzar koī bāhar nazar nahīñ aayā

    ik aisā safar bhī mujhe darpesh thā logo

    kuchh kaam jahāñ zād-e-safar nahīñ aayā

    baiThe rahe palkoñ ko bichhā.e sar-e-rāhe

    vo jān-e-jahāñ-gasht idhar nahīñ aayā

    ik pal ko jahāñ baiThā huuñ thak kar kabhī 'aḳhtar'

    raste meñ koī aisā shajar nahīñ aayā

    ek umr bhaTakte rahe ghar hi nahin aaya

    sahil ki tamanna thi nazar hi nahin aaya

    raushan hain jahan sham-e-mohabbat ki qataren

    wo kunj-e-kam-asar nazar hi nahin aaya

    main jhuT ko sachchai ke paikar mein sajata

    kya kijiye mujh ko ye hunar hi nahin aaya

    wo gumbad-e-be-dar tha ki diwar-e-ana thi

    manzar koi bahar ka nazar hi nahin aaya

    ek aisa safar bhi mujhe darpesh tha logo

    kuchh kaam jahan zad-e-safar hi nahin aaya

    baiThe rahe palkon ko bichhae sar-e-rahe

    wo jaan-e-jahan-gasht idhar hi nahin aaya

    ek pal ko jahan baiTha hun thak kar kabhi 'aKHtar'

    raste mein koi aisa shajar hi nahin aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now