aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek zamane se falak Thahra hua lagta hai

Shohrat Bukhari

ek zamane se falak Thahra hua lagta hai

Shohrat Bukhari

MORE BYShohrat Bukhari

    ik zamāne se falak Thahrā huā lagtā hai

    koī jiitā hai yahāñ aur na koī martā hai

    āzmā.ish ho to kyā jāniye kis nikle

    dekhne meñ to vo apnā koī lagtā hai

    maut ho par ummīd sūrat ho koī

    nā-umīdī meñ kahāñ tak koī saktā hai

    naqsh-e-pā haiñ jo batāte haiñ ki guzrā hai koī

    kaun guzrā hai magar kis ko patā chaltā hai

    koī pūchhe to batānā nahīñ aatā dil ko

    baiThe baiThe kabhī rotā hai kabhī hañstā hai

    sub.h aas na toḌo ki jiyoge kaise

    in havāoñ meñ abhī ek diyā jaltā hai

    qāfila aisā muqaddar hai ki chaltā nahīñ

    aur chaltā hai to pīchhe taraf chaltā hai

    rah ga.ī barf faqat shahr buniyādoñ meñ

    phir bhī jo zarra hai sūraj asar rakhtā hai

    hijr ne aise marāhil se guzārā hai ki ab

    raat naam bhī aa jaa.e to Dartā hai

    dekhte dekhte kyā ho gayā 'shohrat' ki vo ab

    dil meñ rahtā hai magar duur bahut lagtā hai

    ek zamane se falak Thahra hua lagta hai

    koi jita hai yahan aur na koi marta hai

    aazmaish ho to kya jaaniye kis ka nikle

    dekhne mein to wo apna hi koi lagta hai

    maut hi ki ho par ummid ki surat ho koi

    na-umidi mein kahan tak koi ji sakta hai

    naqsh-e-pa hain jo batate hain ki guzra hai koi

    kaun guzra hai magar kis ko pata chalta hai

    koi puchhe to batana nahin aata dil ko

    baiThe baiThe kabhi rota hai kabhi hansta hai

    subh ki aas na toDo ki jiyoge kaise

    in hawaon mein abhi ek diya jalta hai

    qafila aisa muqaddar hai ki chalta hi nahin

    aur chalta hai to pichhe ki taraf chalta hai

    rah gai barf faqat shahr ki buniyaadon mein

    phir bhi jo zarra hai suraj ka asar rakhta hai

    hijr ne aise marahil se guzara hai ki ab

    raat ka nam bhi aa jae to ji Darta hai

    dekhte dekhte kya ho gaya 'shohrat' ki wo ab

    dil mein rahta hai magar dur bahut lagta hai

    Source:

    shab-e-aaina (Pg. 51)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now