Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

insan hai to kibr sin kahta hai kyun ana

Abroo Shah Mubarak

insan hai to kibr sin kahta hai kyun ana

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

    insān hai to kibr siiñ kahtā hai kyuuñ anā

    aadam to ham sunā hai ki vo ḳhaak se banā

    kaisā milā hai ham siiñ ki ab lag hai anmanā

    sun kar hamārī baat kuuñ kartā hai haañ na

    mukhḌe nau-bahār huī ḳhat se āshkār

    sabza na thā ye husn banjar thā par ghanā

    murdā hai be-visāl rahe go ki jāgtā

    sotā huuñ yaar saath so zindoñ meñ jāgnā

    duunī bimārī jab siiñ batāte haiñ fāhisha

    mal mal ke jis qadar ki ghinānte haiñ ubTanā

    yuuñ dil hamārā ishq ātish meñ ḳhush huā

    bhun kar tamām aag meñ khiltā hai juuñ chanā

    nahiñ āb-o-gil sifat tire tan ke ḳhamīr

    kartā huuñ jaan o dil kuuñ lagā us maiñ sanā

    jab 'ābrū' byaah huā bakr fikr siiñ

    tab shā.eroñ ne naam rakhā us but banā

    insan hai to kibr sin kahta hai kyun ana

    aadam to hum suna hai ki wo KHak se bana

    kaisa mila hai hum sin ki ab lag hai anmana

    sun kar hamari baat kun karta hai han na na

    mukhDe ki nau-bahaar hui KHat se aashkar

    sabza na tha ye husn ka banjar tha par ghana

    murda hai be-visal rahe go ki jagta

    sota hun yar sath so zindon mein jagna

    duni bimari jab sin batate hain fahisha

    mal mal ke jis qadar ki ghinante hain ubTana

    yun dil hamara ishq ki aatish mein KHush hua

    bhun kar tamam aag mein khilta hai jun chana

    nahin aab-o-gil sifat tere tan ke KHamir ki

    karta hun jaan o dil kun laga us ki main sana

    jab 'abru' ka byah hua bakr fikr sin

    tab shaeron ne nam rakha us ka but bana

    Source:

    Deewan-e-Aabro (Pg. 111)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now