Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is dil mein apni jaan kabhi hai kabhi nahin

Meer Hasan

is dil mein apni jaan kabhi hai kabhi nahin

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    is dil meñ apnī jaan kabhī hai kabhī nahīñ

    ābād ye makān kabhī hai kabhī nahīñ

    ġhairoñ baat kyā kahūñ is to yaad meñ

    apnā bhī mujh ko dhiyān kabhī hai kabhī nahīñ

    vo din ga.e jo karte the ham muttasil fuġhāñ

    ab āh-e-nā-tavān kabhī hai kabhī nahīñ

    jis aan meñ rahe use jaan muġhtanim

    yaañ har ek aan kabhī hai kabhī nahīñ

    ayyām-e-vasl par to bharosa na kījiyo

    ye vaqt merī jaan kabhī hai kabhī nahīñ

    aadat jo hai hamesha se us so hai ġharaz

    vo ham pe mehrbān kabhī hai kabhī nahīñ

    is dostī terī talavvun-mizājī se

    apne ta.iiñ gumān kabhī hai kabhī nahīñ

    maġhrūr hojiyo na is auj-o-hasham pe

    yaañ ye izz-o-shān kabhī hai kabhī nahīñ

    āshiq kahīñ huā hai 'hasan' kyā hai us haal

    ye aap meñ javān kabhī hai kabhī nahīñ

    is dil mein apni jaan kabhi hai kabhi nahin

    aabaad ye makan kabhi hai kabhi nahin

    ghairon ki baat kya kahun is ki to yaad mein

    apna bhi mujh ko dhiyan kabhi hai kabhi nahin

    wo din gae jo karte the hum muttasil fughan

    ab aah-e-na-tawan kabhi hai kabhi nahin

    jis aan mein rahe tu use jaan mughtanim

    yan ki har ek aan kabhi hai kabhi nahin

    ayyam-e-wasl par to bharosa na kijiyo

    ye waqt meri jaan kabhi hai kabhi nahin

    aadat jo hai hamesha se us ki so hai gharaz

    wo hum pe mehrban kabhi hai kabhi nahin

    is dosti ka teri talawwun-mizaji se

    apne tain guman kabhi hai kabhi nahin

    maghrur hojiyo na is auj-o-hasham pe tu

    yan ki ye izz-o-shan kabhi hai kabhi nahin

    aashiq kahin hua hai 'hasan' kya hai us ka haal

    ye aap mein jawan kabhi hai kabhi nahin

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 62)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now