Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is haqiqat ka hasin KHwabon ko andaza nahin

Prem Warbartani

is haqiqat ka hasin KHwabon ko andaza nahin

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    is haqīqat hasīñ ḳhvāboñ ko andāza nahīñ

    zindagī vo ghar hai jis meñ koī darvāza nahīñ

    shab ke kaase meñ thā kitne māhtāboñ lahū

    sub.h ke taare ko shāyad is andāza nahīñ

    rañg lā.egī kabhī to mere zaḳhmoñ shafaq

    kyā huā rū-e-tamannā par agar ġhāza nahīñ

    ek aañsū huuñ ḳhushī aañkh se rūThā huā

    maiñ kisī muntashir palkoñ shīrāza nahīñ

    kyuuñ bahār aatī nahīñ dil ke ḳharābe taraf

    kyā tirī shādāb zulfoñ havā taaza nahīñ

    likh rahī hai kyuuñ mirī rūhāniyat āyāt-e-kufr

    ye kahīñ duzdīda ḳhvāboñ to ḳhamyāza nahīñ

    kis ko dekhā band darvāzoñ ne āñkheñ khol kar

    'prem' tujh ko un aamad bhī andāza nahīñ

    is haqiqat ka hasin KHwabon ko andaza nahin

    zindagi wo ghar hai jis mein koi darwaza nahin

    shab ke kase mein tha kitne mahtabon ka lahu

    subh ke tare ko shayad is ka andaza nahin

    rang laegi kabhi to mere zaKHmon ki shafaq

    kya hua ru-e-tamanna par agar ghaza nahin

    ek aansu hun KHushi ki aankh se ruTha hua

    main kisi ki muntashir palkon ka shiraaza nahin

    kyun bahaar aati nahin dil ke KHarabe ki taraf

    kya teri shadab zulfon ki hawa taza nahin

    likh rahi hai kyun meri ruhaniyat aayat-e-kufr

    ye kahin duzdida KHwabon ka to KHamyaza nahin

    kis ko dekha band darwazon ne aankhen khol kar

    'prem' tujh ko un ki aamad ka bhi andaza nahin

    Source:

    Khushbu Ka Khwab (Pg. 108)

    • Author: Prem Warbartani
      • Edition: 1976
      • Publisher: Miss V. D. Kakkad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now