aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is jada-e-ushshaq ki taqdir ajab hai

Aamir Suhail

is jada-e-ushshaq ki taqdir ajab hai

Aamir Suhail

MORE BYAamir Suhail

    is jāda-e-ushshāq taqdīr ajab hai

    muTThī meñ jahāñ paañv meñ zanjīr ajab hai

    be-vaq.at-o-kam-māya sahī ḳhvāb hamāre

    ḳhvāboñ se alag hone ta.azīr ajab hai

    maiñ sher kahūñ aur tire naam pe ro duuñ

    ye rañj pairā-e-dil-gīr ajab hai

    āñkhoñ meñ bichhe surma.ī maḳhmal adā aur

    mahmil meñ phaTe hoñToñ tahqīr ajab hai

    har iiñT mirī nazm ko detī hai dilāsā

    ye kunj-e-ġhazal sahn-e-mazā miir ajab hai

    dāġhoñ bahāroñ se mo.attar hai koī jism

    aur ism paḌhe jaane meñ tāḳhīr ajab hai

    ye ḳhāk-basar husn ye mahtāb Tahnī

    roñdī huī sabze ye jāgīr ajab hai

    nīlā.e hue sehnoñ bastī meñ hai kohrām

    daryāfta sayyāre tasḳhīr ajab hai

    dil sakte ke aalam se nikaltā nahīñ 'āmir'

    ik baat ke sah jaane tāsīr ajab hai

    is jada-e-ushshaq ki taqdir ajab hai

    muTThi mein jahan panw mein zanjir ajab hai

    be-waqat-o-kam-maya sahi KHwab hamare

    KHwabon se alag hone ki tazir ajab hai

    main sher kahun aur tere nam pe ro dun

    ye ranj ka paira-e-dil-gir ajab hai

    aankhon mein bichhe surmai maKHmal ki ada aur

    mahmil mein phaTe honTon ki tahqir ajab hai

    har inT meri nazm ko deti hai dilasa

    ye kunj-e-ghazal sahn-e-maza mir ajab hai

    daghon ki bahaaron se moattar hai koi jism

    aur ism paDhe jaane mein taKHir ajab hai

    ye KHak-basar husn ye mahtab ki Tahni

    rondi hui sabze ki ye jagir ajab hai

    nilae hue sehnon ki basti mein hai kohram

    daryafta sayyare ki tasKHir ajab hai

    dil sakte ke aalam se nikalta nahin 'amir'

    ek baat ke sah jaane ki tasir ajab hai

    Source:

    Mashhad-e-Ishq (Pg. 79)

    • Author: Aamir Suhail
      • Publisher: Sanjh Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now