aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is liye jafaon par mujhko muskurana tha

Naseem Shahjahanpuri

is liye jafaon par mujhko muskurana tha

Naseem Shahjahanpuri

MORE BYNaseem Shahjahanpuri

    is liye jafāoñ par mujh ko muskurānā thā

    aur us sitam-gar hausla baḌhānā thā

    āñsuoñ qīmat jab motiyoñ se baḌh kar thī

    vo mirī mohabbat aur zamānā thā

    jab sitam se Darte the ab karam se Darte haiñ

    ye bhī ik zamāna hai vo bhī ik zamānā thā

    zindagī ne luuTā hai zindagī ko dānista

    maut se shikāyat kyā maut bahānā thā

    vo bhī daur guzrā hai jab mirī vafāoñ se

    aap nahīñ tanhā bad-gumāñ zamānā thā

    ai 'nasīm' gulshan meñ jab bahār ke din the

    dosh par fazāoñ ke merā āshiyānā thā

    is liye jafaon par mujh ko muskurana tha

    aur us sitam-gar ka hausla baDhana tha

    aansuon ki qimat jab motiyon se baDh kar thi

    wo meri mohabbat ka aur hi zamana tha

    jab sitam se Darte the ab karam se Darte hain

    ye bhi ek zamana hai wo bhi ek zamana tha

    zindagi ne luTa hai zindagi ko danista

    maut se shikayat kya maut ka bahana tha

    wo bhi daur guzra hai jab meri wafaon se

    aap hi nahin tanha bad-guman zamana tha

    ai 'nasim' gulshan mein jab bahaar ke din the

    dosh par fazaon ke mera aashiyana tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    is liye jafaon par mujhko muskurana tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now