Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar Duba hua dil dard ki lazzat mein hai

Josh Malihabadi

is qadar Duba hua dil dard ki lazzat mein hai

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    is qadar Duubā huā dil dard lazzat meñ hai

    terā 'āshiq anjuman kyuuñ na ho ḳhalvat meñ hai

    jazb kar lenā tajallī ruuh 'ādat meñ hai

    husn ko mahfūz rakhnā 'ishq fitrat meñ hai

    mahv ho jaatā huuñ aksar maiñ ki dushman huuñ tirā

    dilkashī kis darja ai duniyā tirī sūrat meñ hai

    uf nikal jaatī hai ḳhatre mauqa kyuuñ na ho

    husn se betāb ho jaanā mirī fitrat meñ hai

    us ik adnā karishma ruuh vo itnā 'ajīb

    'aql isti.ajāb meñ hai falsafa hairat meñ hai

    nuur taḌkā hai dhīmī ho chalī hai chāñdnī

    hil rahā hai dil mirā masrūf vo zīnat meñ hai

    is qadar Duba hua dil dard ki lazzat mein hai

    tera 'ashiq anjuman hi kyun na ho KHalwat mein hai

    jazb kar lena tajalli ruh ki 'adat mein hai

    husn ko mahfuz rakhna 'ishq ki fitrat mein hai

    mahw ho jata hun aksar main ki dushman hun tera

    dilkashi kis darja ai duniya teri surat mein hai

    uf nikal jati hai KHatre hi ka mauqa kyun na ho

    husn se betab ho jaana meri fitrat mein hai

    us ka ek adna karishma ruh wo itna 'ajib

    'aql istiajab mein hai falsafa hairat mein hai

    nur ka taDka hai dhimi ho chali hai chandni

    hil raha hai dil mera masruf wo zinat mein hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 74)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now