Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is tarah dhup mein dastar na DhunDe koi

Shakeel Azmi

is tarah dhup mein dastar na DhunDe koi

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    is tarah dhuup meñ dastār na DhūñDe koī

    jeb ḳhālī ho to bāzār na DhūñDe koī

    ham se dīvānoñ ta.adād bahut kam hai yahāñ

    har galī kūche meñ fankār na DhūñDe koī

    ham to āvāra musāfir haiñ phirā karte haiñ

    ham ko ik shahr meñ har baar na DhūñDe koī

    hādse shahr dastūr bane jaate haiñ

    ab yahāñ sāya-e-dīvār na DhūñDe koī

    mujh ko ajdād se bas maiñ milā virse meñ

    mujh se milnā ho to ghar-bār na DhūñDe koī

    mujh ko us paar sadā de ke sabhī lauT aa.e

    maiñ yahīñ huuñ magar is paar na DhūñDe koī

    ye parinda to nigāhoñ meñ chhupā baiThā hai

    lab-e-inkār pe iqrār na DhūñDe koī

    aise tūfān meñ tinkā bhī ġhanīmat hai 'shakīl'

    naav mil jaa.e to patvār na DhūñDe koī

    is tarah dhup mein dastar na DhunDe koi

    jeb KHali ho to bazar na DhunDe koi

    hum se diwanon ki tadad bahut kam hai yahan

    har gali kuche mein fankar na DhunDe koi

    hum to aawara musafir hain phira karte hain

    hum ko ek shahr mein har bar na DhunDe koi

    hadse shahr ka dastur bane jate hain

    ab yahan saya-e-diwar na DhunDe koi

    mujh ko ajdad se bas main hi mila wirse mein

    mujh se milna ho to ghar-bar na DhunDe koi

    mujh ko us par sada de ke sabhi lauT aae

    main yahin hun magar is par na DhunDe koi

    ye parinda to nigahon mein chhupa baiTha hai

    lab-e-inkar pe iqrar na DhunDe koi

    aise tufan mein tinka bhi ghanimat hai 'shakil'

    naw mil jae to patwar na DhunDe koi

    Source:

    (Pg. 22)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now