Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is wusat-e-kalam se ji tang aa gaya

Momin Khan Momin

is wusat-e-kalam se ji tang aa gaya

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    is vus.at-e-kalām se tañg aa gayā

    nāseh merī jaan na le dil gayā gayā

    zid se vo phir raqīb ke ghar meñ chalā gayā

    ai rashk merī jaan ga.ī terā kyā gayā

    ye zof hai to dam se bhī kab tak chalā gayā

    ḳhud-raftagī ke sadme se mujh ko ġhash aa gayā

    kyā pūchhtā hai talḳhi-e-ulfat meñ pand ko

    aisī to lazzateñ haiñ ki jaan khā gayā

    kuchh aañkh band hote āñkheñ khul ga.iiñ

    ik balā-e-jān thā achchhā huā gayā

    āñkheñ jo DhūñDtī thiiñ nigah-hā-e-iltifāt

    gum honā dil vo mirī nazroñ se gayā

    bū-e-saman se shaad the aġhyār-e-be-tamīz

    us gul ko e'tibār-e-nasīm-o-sabā gayā

    āh-e-sahar hamārī falak se phirī na ho

    kaisī havā chalī ye ki sansanā gayā

    aatī nahīñ balā-e-shab-e-ġham nigāh meñ

    kis mehr-vash jalva nazar meñ samā gayā

    ai jazb-e-dil na tham ki na Thahrā vo shola-rū

    aayā to garm garm va-lekin jalā gayā

    mujh ḳhānumāñ-ḳharāb likkhā ki jaan kar

    vo naama ġhair mire ghar meñ girā gayā

    mehñdī malegā paañv se dushman to aan kar

    kyuuñ mere tafta siine ko Thokar lagā gayā

    bosa sanam aañkh lete jaan

    'momin' ko yaad kyā hajrul-asvad aa gayā

    is wusat-e-kalam se ji tang aa gaya

    naseh tu meri jaan na le dil gaya gaya

    zid se wo phir raqib ke ghar mein chala gaya

    ai rashk meri jaan gai tera kya gaya

    ye zof hai to dam se bhi kab tak chala gaya

    KHud-raftagi ke sadme se mujh ko ghash aa gaya

    kya puchhta hai talKHi-e-ulfat mein pand ko

    aisi to lazzaten hain ki tu jaan kha gaya

    kuchh aankh band hote hi aankhen si khul gain

    ji ek bala-e-jaan tha achchha hua gaya

    aankhen jo DhunDti thin nigah-ha-e-iltifat

    gum hona dil ka wo meri nazron se pa gaya

    bu-e-saman se shad the aghyar-e-be-tamiz

    us gul ko e'tibar-e-nasim-o-saba gaya

    aah-e-sahar hamari falak se phiri na ho

    kaisi hawa chali ye ki ji sansana gaya

    aati nahin bala-e-shab-e-gham nigah mein

    kis mehr-wash ka jalwa nazar mein sama gaya

    ai jazb-e-dil na tham ki na Thahra wo shola-ru

    aaya to garm garm wa-lekin jala gaya

    mujh KHanuman-KHarab ka likkha ki jaan kar

    wo nama ghair ka mere ghar mein gira gaya

    mehndi malega panw se dushman to aan kar

    kyun mere tafta sine ko Thokar laga gaya

    bosa sanam ki aankh ka lete hi jaan di

    'momin' ko yaad kya hajrul-aswad aa gaya

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    is wusat-e-kalam se ji tang aa gaya Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now