Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ise main aur ye mera asa hi tai karega

Tahseen Firaqi

ise main aur ye mera asa hi tai karega

Tahseen Firaqi

MORE BYTahseen Firaqi

    ise maiñ aur ye merā asā tai karegā

    ye rāh-e-ishq mirā hausla tai karegā

    shab-e-siyāh ke dāman meñ haiñ guhar kyā kiyā

    nasīb vāle! tirā ratjagā tai karegā

    samundaroñ se mah-e-chār-dah khel hai kyā

    koī khilāḌī koī mah-laqā tai karegā

    hamārā dil hai kisī kaam ki nākāra

    ye amr aaj ki kal dil-rubā tai karegā

    haiñ shīsha-kash hameñ kyā kaam kār-e-duniyā se

    ye rāh-e-saḳht koī dūsrā tai karegā

    ilaaj un kaa, jo haiñ is zamīñ bojh, miyāñ!

    koī ḳharosh koī zalzala tai karegā

    jo hāl-mast haiñ gam-karda-rāh bhī unheñ kyā

    ki road-map koī dūsrā tai karegā

    bajā.e ḳhvāj-gāñ masnad-nashīñ hoñ ḳhvāja-sarā

    to mas.ala koī ḳhvāja-sarā tai karegā

    ilaaj kyā ho shaġhāloñ bad-sagāloñ

    ye sher-e-nar koī hamhama tai karegā

    tamām shahr jab be-hisī ho sikka-e-vaqt

    to mol-tol koī masḳhara tai karegā

    ye tai huā hai ki sher o adab ke paimāne

    hamāre shahr ik yak-fanā tai karegā

    mujhe halāk kiyā kis ne aur kyuuñ kis vaqt

    ye sab muāmlā roz-e-jazā tai karegā

    ise main aur ye mera asa hi tai karega

    ye rah-e-ishq mera hausla hi tai karega

    shab-e-siyah ke daman mein hain guhar kya kiya

    nasib wale! tera ratjaga hi tai karega

    samundaron se mah-e-chaar-dah ka khel hai kya

    koi khilaDi koi mah-laqa hi tai karega

    hamara dil hai kisi kaam ka ki nakara

    ye amr aaj ki kal dil-ruba hi tai karega

    hain shisha-kash hamein kya kaam kar-e-duniya se

    ye rah-e-saKHt koi dusra hi tai karega

    ilaj un ka, jo hain is zamin ka bojh, miyan!

    koi KHarosh koi zalzala hi tai karega

    jo haal-mast hain gam-karda-rah bhi unhen kya

    ki road-map koi dusra hi tai karega

    bajae KHwaj-gan masnad-nashin hon KHwaja-sara

    to masala koi KHwaja-sara hi tai karega

    ilaj kya ho shaghaalon ka bad-sagalon ka

    ye sher-e-nar ka koi hamhama hi tai karega

    tamam shahr ki jab be-hisi ho sikka-e-waqt

    to mol-tol koi masKHara hi tai karega

    ye tai hua hai ki sher o adab ke paimane

    hamare shahr ka ek yak-fana hi tai karega

    mujhe halak kiya kis ne aur kyun kis waqt

    ye sab muamla roz-e-jaza hi tai karega

    Source:

    Shakh-e-Zaryab (Pg. 49)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now